murghabi
Dhal gayā din aur shabnam hai zamīñ par qatra-rez
gosha-e-maġhrib meñ gulgūñ hai shafaq se āsmāñ
paḌ rahī haiñ duur tak sūraj kī kirneñ zard zard
jā rahī hai to akelī shaam ko uḌtī kahāñ
dekhtā hai kyuuñ abas sayyād sū-e-asmāñ
yaas kī nazroñ se terī shaukat-e-parvāz ko
arġhavāñ-zār-falak ke manzar-e-ḳhush-rañg ne
kar diyā hai aur dilkash tere naqsh-e-nāz ko
DhūñDtī phirtī hai kyā koī suhānā ābshār
yā ki sar-garm talāsh-e-dāman-e-dariyā hai tū
yā kisī bahr-e-tamavvuj-ḳhez kī hai justujū
yuuñ sukūt-e-shām meñ kyuuñ āsmāñ-paimā hai tū
tū jo be-sang-e-nishān-e-jāda-o-be-marhala
kar rahī hai āsmāñ par qat.a tabqāt-e-havā
uḌ sake be-badraqa tū ye kahāñ terī majāl
koī tāqat hai magar terī muqarrar rahnumā
ai subuk-parvāz! terī sur.at-e-parvāz ne
tai kiye kitne hī din bhar sarv-tabqāt-e-nasīm
ho ke dāmānda zamīñ par gar na shahpar joḌ kar
shab kī zulmat kā hai garche sar pe tūfān-e-azīm
ho chukī terī mashaqqat ḳhatm tujh ko an-qarīb
garmiyoñ kā ik suhānā ghar milegā ḳhush-gavār
gaatī hogī chhoTī chiḌiyoñ meñ ham-āhañgī se tū
aur nasheman par tire hogī niyastāñ kī bahār
ho ga.ī ġhā.eb fazā-e-āsmāñ meñ garche tū
aur ab āñkhoñ meñ hai terā tasavvur yādgār
maiñ ne sīkhā hai sabaq lekin tirī parvāz se
hai tarīq-e-zindagī meñ tū mirī āmoz-gār
mantiqā se mantiqā tak ai subuk-parvāz-shauq
vus.at-e-auj-e-falak par hai jo terā rāhbar
mujh ko bhī le jā.egā vo manzil-e-maqsūd tak
jab karūñgā jāda-e-hastī se maiñ tanhā safar
Dhal gaya din aur shabnam hai zamin par qatra-rez
gosha-e-maghrib mein gulgun hai shafaq se aasman
paD rahi hain dur tak suraj ki kirnen zard zard
ja rahi hai to akeli sham ko uDti kahan
dekhta hai kyun abas sayyaad su-e-asman
yas ki nazron se teri shaukat-e-parwaz ko
arghawan-zar-falak ke manzar-e-KHush-rang ne
kar diya hai aur dilkash tere naqsh-e-naz ko
DhunDti phirti hai kya koi suhana aabshaar
ya ki sar-garm talash-e-daman-e-dariya hai tu
ya kisi bahr-e-tamawwuj-KHez ki hai justuju
yun sukut-e-sham mein kyun aasman-paima hai tu
tu jo be-sang-e-nishan-e-jada-o-be-marhala
kar rahi hai aasman par qata tabqat-e-hawa
uD sake be-badraqa tu ye kahan teri majal
koi taqat hai magar teri muqarrar rahnuma
ai subuk-parwaz! teri surat-e-parwaz ne
tai kiye kitne hi din bhar sarw-tabqat-e-nasim
ho ke damanda zamin par gar na shahpar joD kar
shab ki zulmat ka hai garche sar pe tufan-e-azim
ho chuki teri mashaqqat KHatm tujh ko an-qarib
garmiyon ka ek suhana ghar milega KHush-gawar
gati hogi chhoTi chiDiyon mein ham-ahangi se tu
aur nasheman par tere hogi niyastan ki bahaar
ho gai ghaeb faza-e-asman mein garche tu
aur ab aankhon mein hai tera tasawwur yaadgar
main ne sikha hai sabaq lekin teri parwaz se
hai tariq-e-zindagi mein tu meri aamoz-gar
mantiqa se mantiqa tak ai subuk-parwaz-shauq
wusat-e-auj-e-falak par hai jo tera rahbar
mujh ko bhi le jaega wo manzil-e-maqsud tak
jab karunga jada-e-hasti se main tanha safar
- Book : Durga Sahaye Suroor Jahanabadi(Tehqiqi aur Tanqidi Jaizay) (Pg. 272)
- Author : Alif Nazim, Asad barkati
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.