murghi ki musibat
ham ne battaḳh ke chhe anDe
ik murġhī ke nīche rakkhe
phūTe anDe pachchīs din meñ
bol rahe the bachche jin meñ
bachche nikle pyāre pyāre
murġhī kī āñkhoñ ke taare
rang thā piilā choñch meñ laalī
āñkheñ un kī kaalī kaalī
choñch thī chauḌī panja chapTā
baaqī chūzoñ kā sā naqsha
bachche ḳhush the murġhī ḳhush thī
ham bhī ḳhush the vo bhī ḳhush thī
murġhī chugtī kaT kaT kartī
le ke un ko baaġh meñ pahuñchī
jam.a hue vaañ bachche us dam
kausar tāshī niilo mariyam
kausar jo thī chhoTī bachchī
bholī-bhālī aql kī kachchī
us ne jhaT ik chūza le kar
pheñk diyā tālāb ke andar
kī ye sharārat is phurtī se
rah ga.e ham sab na na kahte
chūza jo thā nanhā munnā
ham samjhe bas ab ye Duubā
lekin sāhab vo chūza to
kar gayā hairāñ pal meñ sab ko
paanī se kuchh bhī na Darā vo
pahle jhijkā phir sañbhlā vo
ḳhuub hī tairā chhap chhap kar ke
choñch meñ apnī paanī bhar ke
bachchoñ ne phir baaqī chūze
Daal diye tālāb meñ saare
hone lagī phir ḳhuub ġhaḌap ġhap
chhap chhap chhap chhap chhap chhap chhap chhap
murġhī kāñpī haul ke maare
jā pahuñchī tālāb kināre
kaT kaT kar ke un ko bulāyā
ik bhī bachcha paas na aayā
shāyad vo samjhe nahīñ bolī
baḌh ga.ī aage un kī Tolī
hum ne battaKH ke chhe anDe
ek murghi ke niche rakkhe
phuTe anDe pachchis din mein
bol rahe the bachche jin mein
bachche nikle pyare pyare
murghi ki aankhon ke tare
rang tha pila chonch mein lali
aankhen un ki kali kali
chonch thi chauDi panja chapTa
baqi chuzon ka sa naqsha
bachche KHush the murghi KHush thi
hum bhi KHush the wo bhi KHush thi
murghi chugti kaT kaT karti
le ke un ko bagh mein pahunchi
jama hue wan bachche us dam
kausar tashi nilo mariyam
kausar jo thi chhoTi bachchi
bholi-bhaali aql ki kachchi
us ne jhaT ek chuza le kar
phenk diya talab ke andar
ki ye shararat is phurti se
rah gae hum sab na na kahte
chuza jo tha nanha munna
hum samjhe bas ab ye Duba
lekin sahab wo chuza to
kar gaya hairan pal mein sab ko
pani se kuchh bhi na Dara wo
pahle jhijka phir sanbhla wo
KHub hi taira chhap chhap kar ke
chonch mein apni pani bhar ke
bachchon ne phir baqi chuze
Dal diye talab mein sare
hone lagi phir KHub ghaDap ghap
chhap chhap chhap chhap chhap chhap chhap chhap
murghi kanpi haul ke mare
ja pahunchi talab kinare
kaT kaT kar ke un ko bulaya
ek bhi bachcha pas na aaya
shayad wo samjhe nahin boli
baDh gai aage un ki Toli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.