musafir chalte rahte hain
kabūtar maqbaroñ par raat din
din raat rahte haiñ
musāfir chalte rahte haiñ
kabūtar duudh aise par
siyah dīvār kī jaalī se aatī
dhuup kī kañghī se
jab hamvār karte haiñ
to būḌhe maqbaroñ par
kaa.ī ke jañgal mahakte haiñ
musāfir chalte rahte haiñ
ye banjāre
jinheñ bas chand lamhe hī Thaharnā hai
unheñ roko nahīñ
ye mausamī aabī parinde haiñ
jinheñ maile paroñ ke saath uḌnā hai
unheñ ruknā nahīñ aatā
unheñ ruknā nahīñ aatā
kabutar maqbaron par raat din
din raat rahte hain
musafir chalte rahte hain
kabutar dudh aise par
siyah diwar ki jali se aati
dhup ki kanghi se
jab hamwar karte hain
to buDhe maqbaron par
kai ke jangal mahakte hain
musafir chalte rahte hain
ye banjare
jinhen bas chand lamhe hi Thaharna hai
unhen roko nahin
ye mausami aabi parinde hain
jinhen maile paron ke sath uDna hai
unhen rukna nahin aata
unhen rukna nahin aata
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 158)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
- Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.