musafir
mire vatan tirī ḳhidmat meñ le kar aayā huuñ
jagah jagah ke tilismāt des des ke rañg
purāne zehn kī raakh aur na.e diloñ kī umañg
na dekh aisī nigāhoñ se mere ḳhālī haath
na yuuñ ho merī tahī-dāmanī se sharminda
base hue haiñ mire dil meñ saikḌoñ tohfe
bahut se ġham ka.ī ḳhushiyāñ ka.ī anokhe log
kahīñ se kaif hī kaif aur kahīñ se dard hī dard
jinheñ uThā nahīñ saktā har ek dasht-navard
jo thailiyoñ ke shikam meñ samā nahīñ sakte
jo suitcase kī jeboñ meñ aa nahīñ sakte
bichhaḌ ke tujh se ka.ī ajnabī dayāroñ ne
mujhe gale se lagāyā mujhe tasallī dī
mujhe batā.e shab-e-tīra-o-siyāh ke raaz
mire badan ko sikhā.e hazār istilzāz
kuchh is tarah mire pahlū meñ aa.e zohra-o-shams
maiñ muddatoñ yahī samjhā kiyā ki jism kā lams
azal se tā-ba-abad ek hī masarrat hai
ki sab fareb hai merā badan haqīqat hai
aur is tarah bhī huā hai ki merī tanhā.ī
samundaroñ se lipaT kar havā se Takrā kar
kabhī sameT ke mujh ko na.e jazīroñ meñ
kabhī pahāḌ ke jharne kī tarah bikhrā kar
kabhī biThā ke mujhe āsmāñ ke dosh-ba-dosh
kabhī zamīñ kī tahoñ meñ jaḌoñ meñ phailā kar
kuchh is tarah mire ehsās meñ samā.ī hai
ki mujh ko zaat se bāhar nikāl laa.ī hai
kuchh aisā ḳhvāb sā nā-ḳhvābiyāñ sī taarī thiiñ
badan to kyā mujhe parchhā.iyāñ bhī bhārī thiiñ
mire dayār kahāñ the tire tamāshā.ī
ki dīdanī thā mirā jashn-e-ābla-pā.ī
kuchh aise dost mile shahr-e-ġhair meñ ki mujhe
ka.ī farishta-nafas dushmanoñ kī yaad aa.ī
maiñ sochtā huuñ ki kam hoñge aise dīvāne
na koī qadr ho jin kī na koī rusvā.ī
mujhe bujhā na sakī yaḳh-zada havā-e-shumāl
mujhe Dubo na sakī qulzumoñ kī gahrā.ī
na jaane kaisā kurah thā mirā vajūd ki rose
mire qarīb zamīñ ghūmtī huī aa.ī
talāsh karte hue gum-shuda ḳhazānoñ ko
bahut se misr ke fir.aun maqbaroñ meñ mile
zabān-e-sañg meñ jo ham-kalām hote haiñ
kuchh aise log purāne musass meñ mile
buland-bām kalīsā meñ the vahī fankār
jo ḳhasta-hāl masājid ke gumbadoñ meñ mile
marī thakī huī ḳhvābīdgī se nālāñ the
vo rat-jage jo masā.il kī karvaToñ meñ mile
ka.ī surāġh nazar aa.e dāstānoñ meñ
ka.ī charāġh kitāboñ ke hāshiyoñ meñ mile
sunā ke apne urūj-o-zavāl ke qisse
sabhī ne mujh se mirā rañg-e-dāstāñ pūchhā
dikhā ke barf ke mausam mire buzurgoñ ne
mizāj-e-sholgī-e-asr-e-naujavāñ pūchhā
mirī jhukī huī āñkheñ talāsh kartī raheñ
koī zamīr kā lahja koī usuul kī baat
guzar ga.ī mirī palkoñ pe jāgtī huī raat
nadāmatoñ kā pasīna jabīñ pe phuuT gayā
mirī zabāñ pe tirā naam aa ke TuuT gayā
qubūl kar ye nadāmat ki is pasīne kī
har ek buuñd meñ chiñgāriyoñ ke sāñche haiñ
qubūl kar mire chehre kī jhurriyāñ jin meñ
kahīñ junūñ kahīñ tahzīb ke tamāñche haiñ
sambhāl merā subuk hadiya-e-ġham-e-idrāk
jo mujh ko saat samundar kā zahr pī ke milā
saqāfatoñ ke har ātish-fishāñ meñ jī ke milā
talab kiyā mujhe yūnān ke ḳhudāoñ ne
janam liyā mire siine meñ devtāoñ ne
fareb-o-hirs ke har rāste se moḌ diyā
aur is ke ba.ad super market pe chhoḌ diyā
jahāñ bas ek hī me.ār-e-ādamiyat thā
hujūm-e-mard-o-zanāñ mahv-sair-e-vahshat thā
ghaḌī kā husn na.e radio kī zebā.ī
plastic ke kañval nylon kī tie
italiya ke na.e boot hong-kong ke haar
crisler kī na.ī range, tokyo ke siñgār
har ek jism ko āsūdgī kī ḳhvāhish thī
har ek aañkh meñ asbāb kī parastish thī
ye inhimāk qayādat meñ bhī nahīñ miltā
ye sū-e-nafs-e-ibādat meñ bhī nahīñ miltā
mire vatan mire sāmān meñ to kuchh bhī nahīñ
bas ek ḳhvāb hai aur ḳhvāb kī fasīleñ haiñ
qubūl kar mirī mailī qamīz kā tohfa
ki is kī ḳhaak meñ sajdoñ kī sar-zamīneñ haiñ
na dhul sakegā ye dāman ki us ke siine par
'biyāfrā' ke muqaddas lahū ke chhīñTeñ haiñ
ye vietnam kī miTTī hai jis ke zarroñ meñ
payambaroñ kī damaktī huī jabīneñ haiñ
mere watan teri KHidmat mein le kar aaya hun
jagah jagah ke tilismat des des ke rang
purane zehn ki rakh aur nae dilon ki umang
na dekh aisi nigahon se mere KHali hath
na yun ho meri tahi-damani se sharminda
base hue hain mere dil mein saikDon tohfe
bahut se gham kai KHushiyan kai anokhe log
kahin se kaif hi kaif aur kahin se dard hi dard
jinhen uTha nahin sakta har ek dasht-naward
jo thailiyon ke shikam mein sama nahin sakte
jo suitcase ki jebon mein aa nahin sakte
bichhaD ke tujh se kai ajnabi dayaron ne
mujhe gale se lagaya mujhe tasalli di
mujhe batae shab-e-tira-o-siyah ke raaz
mere badan ko sikhae hazar istilzaz
kuchh is tarah mere pahlu mein aae zohra-o-shams
main muddaton yahi samjha kiya ki jism ka lams
azal se ta-ba-abad ek hi masarrat hai
ki sab fareb hai mera badan haqiqat hai
aur is tarah bhi hua hai ki meri tanhai
samundaron se lipaT kar hawa se Takra kar
kabhi sameT ke mujh ko nae jaziron mein
kabhi pahaD ke jharne ki tarah bikhra kar
kabhi biTha ke mujhe aasman ke dosh-ba-dosh
kabhi zamin ki tahon mein jaDon mein phaila kar
kuchh is tarah mere ehsas mein samai hai
ki mujh ko zat se bahar nikal lai hai
kuchh aisa KHwab sa na-KHwabiyan si tari thin
badan to kya mujhe parchhaiyan bhi bhaari thin
mere dayar kahan the tere tamashai
ki didani tha mera jashn-e-abla-pai
kuchh aise dost mile shahr-e-ghair mein ki mujhe
kai farishta-nafas dushmanon ki yaad aai
main sochta hun ki kam honge aise diwane
na koi qadr ho jin ki na koi ruswai
mujhe bujha na saki yaKH-zada hawa-e-shumal
mujhe Dubo na saki qulzumon ki gahrai
na jaane kaisa kurah tha mera wajud ki rose
mere qarib zamin ghumti hui aai
talash karte hue gum-shuda KHazanon ko
bahut se misr ke firaun maqbaron mein mile
zaban-e-sang mein jo ham-kalam hote hain
kuchh aise log purane musass mein mile
buland-baam kalisa mein the wahi fankar
jo KHasta-haal masajid ke gumbadon mein mile
mari thaki hui KHwabidgi se nalan the
wo rat-jage jo masail ki karwaTon mein mile
kai suragh nazar aae dastanon mein
kai charagh kitabon ke hashiyon mein mile
suna ke apne uruj-o-zawal ke qisse
sabhi ne mujh se mera rang-e-dastan puchha
dikha ke barf ke mausam mere buzurgon ne
mizaj-e-sholgi-e-asr-e-naujawan puchha
meri jhuki hui aankhen talash karti rahen
koi zamir ka lahja koi usul ki baat
guzar gai meri palkon pe jagti hui raat
nadamaton ka pasina jabin pe phuT gaya
meri zaban pe tera nam aa ke TuT gaya
qubul kar ye nadamat ki is pasine ki
har ek bund mein chingariyon ke sanche hain
qubul kar mere chehre ki jhurriyan jin mein
kahin junun kahin tahzib ke tamanche hain
sambhaal mera subuk hadiya-e-gham-e-idrak
jo mujh ko sat samundar ka zahr pi ke mila
saqafaton ke har aatish-fishan mein ji ke mila
talab kiya mujhe yunan ke KHudaon ne
janam liya mere sine mein dewtaon ne
fareb-o-hirs ke har raste se moD diya
aur is ke baad super market pe chhoD diya
jahan bas ek hi mear-e-adamiyat tha
hujum-e-mard-o-zanan mahw-sair-e-wahshat tha
ghaDi ka husn nae radio ki zebai
plastic ke kanwal nylon ki tie
italiya ke nae boot hong-kong ke haar
crisler ki nai range, tokyo ke singar
har ek jism ko aasudgi ki KHwahish thi
har ek aankh mein asbab ki parastish thi
ye inhimak qayaadat mein bhi nahin milta
ye su-e-nafs-e-ibaadat mein bhi nahin milta
mere watan mere saman mein to kuchh bhi nahin
bas ek KHwab hai aur KHwab ki fasilen hain
qubul kar meri maili qamiz ka tohfa
ki is ki KHak mein sajdon ki sar-zaminen hain
na dhul sakega ye daman ki us ke sine par
'biyafra' ke muqaddas lahu ke chhinTen hain
ye wietnam ki miTTi hai jis ke zarron mein
payambaron ki damakti hui jabinen hain
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Koh-e-nida) (Pg. 44)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.