musafir
musāfir Thahar jā ab
tere hisse kā safar tai ho chukā hai
dhuup aur bārish lapeTī jā chukī hai
ab safar kaisā ki jab rasta lapeTā jā chukā hai
jab raftār kā har pal sameTā jā chukā hai
musāfir Thahar jā ab
ki tujh ko rukne kā ishāra ho chukā hai
safar puurā huā
tujh ko sañvārā jā chukā hai
musafir Thahar ja ab
tere hisse ka safar tai ho chuka hai
dhup aur barish lapeTi ja chuki hai
ab safar kaisa ki jab rasta lapeTa ja chuka hai
jab raftar ka har pal sameTa ja chuka hai
musafir Thahar ja ab
ki tujh ko rukne ka ishaara ho chuka hai
safar pura hua
tujh ko sanwara ja chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.