sitāre
kitnī shiddat se chamaktā hai badan terā
abad ke sāhiloñ par
yā azal kī jalva-gāhoñ meñ
kahīñ narsal ke jañgal meñ
kisī mahmil kī rāhoñ meñ
kisī chashme ke paanī par
kisī manzar kī shabnam meñ
kisī hijrat ke sahrā meñ
kisī furqat ke aalam meñ
sitāre
us safar meñ tū ne kaise naqsh dekhe haiñ
ki jin kī taab se
yuuñ jagmagā uThThā badan terā
sitāre
kitnī shiddat se chamaktā hai badan terā
sitare
kitni shiddat se chamakta hai badan tera
abad ke sahilon par
ya azal ki jalwa-gahon mein
kahin narsal ke jangal mein
kisi mahmil ki rahon mein
kisi chashme ke pani par
kisi manzar ki shabnam mein
kisi hijrat ke sahra mein
kisi furqat ke aalam mein
sitare
us safar mein tu ne kaise naqsh dekhe hain
ki jin ki tab se
yun jagmaga uThTha badan tera
sitare
kitni shiddat se chamakta hai badan tera
- Book : meyaar (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.