musalman aur hindostan
tārīḳh ba-har daur ulaTtī hai varaq aur
maz.hab meñ hai lekin vatniyat kā sabaq aur
tū mard-e-musalmāñ hai to ik baat zarā sun
āġhosh-e-tayaqqun se haqīqat kī sadā sun
ye sach hai musalmān tabāhī se ghirā hai
ik vasvasa-e-lā-mutanāhī se ghirā hai
ālām kī had apne shikanje meñ liye hai
ik daur-e-masā.ib hai ki narġhe meñ liye hai
ārām hai mafqūd sukūñ paas nahīñ hai
ab jaise ki jiine kī koī aas nahīñ hai
āfāt nigal jaane ko muñh khol rahe haiñ
ḳhatrāt har ik samt baham bol rahe haiñ
pazhmurdagī-o-ḳhauf kā har ghar meñ hai pherā
har dil meñ hirāsānī-e-be-had kā hai Derā
be-rabt hai be-zabt hai be-rāh-numā hai
muslim hai ki be-azm hai be-hauslā-pā hai
amvāj-e-havādis meñ hai īmān-parastī
tūfān kī zad par hai musalmān kī kashtī
ye baat jahāñ meñ hai purānī bhī na.ī bhī
har qaum ko miltī hai sazā us ke kiye kī
tum aaj magar apnoñ se muñh moḌ rahe ho
ab sar pe musībat hai to ghar chhoḌ rahe ho
ye fe.al musalmān ke shāyāñ to nahīñ hai
ye diiñ nahīñ maz.hab nahīñ īmāñ to nahīñ hai
bhārat ke ba-har-hāl vafādār bano tum
nāmūs ke izzat ke nigah-dār bano tum
tariKH ba-har daur ulaTti hai waraq aur
mazhab mein hai lekin watniyat ka sabaq aur
tu mard-e-musalman hai to ek baat zara sun
aaghosh-e-tayaqqun se haqiqat ki sada sun
ye sach hai musalman tabahi se ghira hai
ek waswasa-e-la-mutanahi se ghira hai
aalam ki had apne shikanje mein liye hai
ek daur-e-masaib hai ki narghe mein liye hai
aaram hai mafqud sukun pas nahin hai
ab jaise ki jine ki koi aas nahin hai
aafat nigal jaane ko munh khol rahe hain
KHatraat har ek samt baham bol rahe hain
pazhmurdagi-o-KHauf ka har ghar mein hai phera
har dil mein hirasani-e-be-had ka hai Dera
be-rabt hai be-zabt hai be-rah-numa hai
muslim hai ki be-azm hai be-hausla-pa hai
amwaj-e-hawadis mein hai iman-parasti
tufan ki zad par hai musalman ki kashti
ye baat jahan mein hai purani bhi nai bhi
har qaum ko milti hai saza us ke kiye ki
tum aaj magar apnon se munh moD rahe ho
ab sar pe musibat hai to ghar chhoD rahe ho
ye feal musalman ke shayan to nahin hai
ye din nahin mazhab nahin iman to nahin hai
bhaarat ke ba-har-haal wafadar bano tum
namus ke izzat ke nigah-dar bano tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.