musalsal chalte rahne ki KHushi mein
yahāñ se do kanīzeñ jā rahī thiiñ
rāste meñ ḳhud se āsūda huiiñ
aur so ga.iiñ
sāvan ke mele meñ
musalsal chalte rahne kī ḳhushī āsūda kartī hai
musalsal chalte rahne kī ḳhushī meñ leT jaatī hai mohabbat ghaas meñ
patthar kī sil par yādgārī sīḌhiyoñ ke beach
giile mausamoñ meñ paañv meñ aatī huī un sīḌhiyoñ ke saath
jin par log chalte haiñ
aur ik dam hañsne lagte haiñ
musalsal chalte rahne kī ḳhushī meñ
ab un ke paañv par shabnam giregī
aao chal deñ bāñdh leñ jūtoñ ke tasme
aao chal deñ un kanīzoñ ke ta.āqub meñ
jo āsūda huiiñ
aur so ga.iiñ patthar kī sil par
yādgārī sīḌhiyoñ ke beach
giile mausamoñ meñ
ab un ke paañv par shabnam giregī
yahan se do kanizen ja rahi thin
raste mein KHud se aasuda huin
aur so gain
sawan ke mele mein
musalsal chalte rahne ki KHushi aasuda karti hai
musalsal chalte rahne ki KHushi mein leT jati hai mohabbat ghas mein
patthar ki sil par yaadgari siDhiyon ke beach
gile mausamon mein panw mein aati hui un siDhiyon ke sath
jin par log chalte hain
aur ek dam hansne lagte hain
musalsal chalte rahne ki KHushi mein
ab un ke panw par shabnam giregi
aao chal den bandh len juton ke tasme
aao chal den un kanizon ke taaqub mein
jo aasuda huin
aur so gain patthar ki sil par
yaadgari siDhiyon ke beach
gile mausamon mein
ab un ke panw par shabnam giregi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.