musawwir
lakīreñ zindagī kī uljhaneñ bhī haiñ
lakīreñ mast dhāre kā sukūñ bhī haiñ
lakīreñ bhāgte aur shor karte din kā hangāma
lakīreñ retīle sāhil kī bhīgī raat kī nāgin kā saaya bhī
kabhī rangoñ kī āvāzoñ meñ hai
ūñchī muñDeroñ ke aqab se jhāñkne vaale sunahre chāñd kā naġhma
na.ī rut koñpaloñ aur pattiyoñ phūloñ kī ḳhushbūeñ
kabhī rangoñ kī āvāzeñ
daraḳhtoñ ke sulagte āñsuoñ kā dard maddham sā
kahīñ tāroñ kī mālā.eñ liye ākāsh kī maġhmūm sī devī
kabhī ye rang
mere zehn kī bhaTTī ke kundan se damakte surḳh angāre
kabhī rotī huī is zindagī ke dard kā mātam
kahīñ in āñsuoñ meñ qabr sī galiyoñ kā sannāTā
kahīñ kohre meñ kafnā.ī huī sham.eñ guzartī haiñ
lakiren zindagi ki uljhanen bhi hain
lakiren mast dhaare ka sukun bhi hain
lakiren bhagte aur shor karte din ka hangama
lakiren retile sahil ki bhigi raat ki nagin ka saya bhi
kabhi rangon ki aawazon mein hai
unchi munDeron ke aqab se jhankne wale sunahre chand ka naghma
nai rut konpalon aur pattiyon phulon ki KHushbuen
kabhi rangon ki aawazen
daraKHton ke sulagte aansuon ka dard maddham sa
kahin taron ki malaen liye aakash ki maghmum si dewi
kabhi ye rang
mere zehn ki bhaTTi ke kundan se damakte surKH angare
kabhi roti hui is zindagi ke dard ka matam
kahin in aansuon mein qabr si galiyon ka sannaTa
kahin kohre mein kafnai hui shamen guzarti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.