mushaheda
mire ik dost ne mujh se
kahā ai 'shāhid'-e-anvar
tirā chehra hazāroñ meñ alag pahchān rakhtā hai
tirī āñkheñ hayā kī vo nishānī haiñ
jinheñ maiñ roz taktā huuñ
tirī guftār se ma.asūm kaliyāñ muskurātī haiñ
tire alfāz meñ paiġhām hai zinda-dilī kā
tire ash.ār mujh ko hausla din-rāt dete haiñ
ye sab sunte hue hairat se
maiñ apne aap meñ ḳhāmosh baiThā thā
mirā chehra mirī āñkheñ
mirī guftār ke charche
mire alfāz aur ash.ār
koī bhī is qadar tārīf ke laa.eq kabhī na thā
magar ai dost
mohabbat ne tirī nazroñ ko vo tāsīr baḳhshī hai
ki mujh se aam insāñ ne
tire dil meñ jagah pā lī
mere ek dost ne mujh se
kaha ai 'shahid'-e-anwar
tera chehra hazaron mein alag pahchan rakhta hai
teri aankhen haya ki wo nishani hain
jinhen main roz takta hun
teri guftar se masum kaliyan muskuraati hain
tere alfaz mein paigham hai zinda-dili ka
tere ashaar mujh ko hausla din-raat dete hain
ye sab sunte hue hairat se
main apne aap mein KHamosh baiTha tha
mera chehra meri aankhen
meri guftar ke charche
mere alfaz aur ashaar
koi bhi is qadar tarif ke laeq kabhi na tha
magar ai dost
mohabbat ne teri nazron ko wo tasir baKHshi hai
ki mujh se aam insan ne
tere dil mein jagah pa li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.