mushahida
rū-e-mahtāb kī zau-fishānī liye
sach kī parchhā.iyāñ raqs meñ haiñ magan
soz-e-pinhāñ liye jān-e-uryāñ liye
kahkashāñ kahkashāñ raushnī ke diye
maujzan zau-fagan arsh se farsh tak
azm kā haath meñ apne parcham liye
chashm-e-bīnā agar hai to tum dekh lo
yā kisī banda-e-haq se tum pūchh lo
qalb-e-raushan agar hai to ai ham-nashīñ
shab kī tārīkiyāñ zulf ke pech-o-ḳham
tār-e-resham kī sūrat nikhar jā.eñge
jitne nāsūr haiñ dil ke bhar jā.eñge
jhuuT ḳhud aag meñ apnī jal jā.egā
sūrat-e-ḳhāk har-sū bikhar jā.egā
ru-e-mahtab ki zau-fishani liye
sach ki parchhaiyan raqs mein hain magan
soz-e-pinhan liye jaan-e-uryan liye
kahkashan kahkashan raushni ke diye
maujzan zau-fagan arsh se farsh tak
azm ka hath mein apne parcham liye
chashm-e-bina agar hai to tum dekh lo
ya kisi banda-e-haq se tum puchh lo
qalb-e-raushan agar hai to ai ham-nashin
shab ki tarikiyan zulf ke pech-o-KHam
tar-e-resham ki surat nikhar jaenge
jitne nasur hain dil ke bhar jaenge
jhuT KHud aag mein apni jal jaega
surat-e-KHak har-su bikhar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.