mushahidat
ho ga.iiñ vīrān irfān-o-yaqīñ kī jannateñ
ḳhuld-zār-e-hind ko dozaḳh-nishāñ paatā huuñ maiñ
fitrat-e-hastī koī sahrā-e-nau ījād kar
vus.at-e-ālam ba-qadr-e-yak-fuġhāñ paatā huuñ maiñ
chal gayā fikr-o-nazar par māddiyyat kā fareb
aadmī ko maut kī jānib ravāñ paatā huuñ maiñ
rāhzan pahne hue haiñ ab libās-e-rahbarī
nuur ke saa.e meñ zulmat ko javāñ paatā huuñ maiñ
marhabā ai ātish-e-dil āfrīñ ai soz-e-ishq
har-nafas meñ ik hayāt-e-jāvidāñ paatā huuñ maiñ
bātin-e-zulmat meñ haiñ sūraj kī kirneñ be-qarār
raat ko hangāma-pairā-e-sahar paatā huuñ maiñ
faash kar detā hai ik naġhma muġhannī kā maqām
aa.ine meñ jauhar-e-ā.īna-gar paatā huuñ maiñ
rang-mahloñ meñ ġhazal-ḳhvāñ haiñ amīrān-e-kibār
ḳhaak par fāqa-kashoñ ko nauhagar paatā huuñ maiñ
koī chāñdī kā pujārī koī sone kā ġhulām
ādamiyyat ko asīr-e-sīm-o-zar paatā huuñ maiñ
talḳh thī mere liye kal tak sharāb-e-zindagī
ab sharāb-e-zindagī ko talḳh-tar paatā huuñ maiñ
ho gain viran irfan-o-yaqin ki jannaten
KHuld-zar-e-hind ko dozaKH-nishan pata hun main
fitrat-e-hasti koi sahra-e-nau ijad kar
wusat-e-alam ba-qadr-e-yak-fughan pata hun main
chal gaya fikr-o-nazar par maddiyyat ka fareb
aadmi ko maut ki jaanib rawan pata hun main
rahzan pahne hue hain ab libas-e-rahbari
nur ke sae mein zulmat ko jawan pata hun main
marhaba ai aatish-e-dil aafrin ai soz-e-ishq
har-nafas mein ek hayat-e-jawidan pata hun main
baatin-e-zulmat mein hain suraj ki kirnen be-qarar
raat ko hangama-paira-e-sahar pata hun main
fash kar deta hai ek naghma mughanni ka maqam
aaine mein jauhar-e-aina-gar pata hun main
rang-mahlon mein ghazal-KHwan hain amiran-e-kibar
KHak par faqa-kashon ko nauhagar pata hun main
koi chandi ka pujari koi sone ka ghulam
aadamiyyat ko asir-e-sim-o-zar pata hun main
talKH thi mere liye kal tak sharab-e-zindagi
ab sharab-e-zindagi ko talKH-tar pata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.