mushkil
ḳhudā ko yaad kartā huuñ to maañ kī yaad aatī hai
abhī azaloñ se gardāñ chaak kī miTTī kā nam ā.ankhoñ meñ raushan thā ki maiñ ne maañ ko dekhā thā
mujhe muskān kā pahlā sahīfa yaad hai ab tak
ki dil jis kī tilāvat se sakūñ ke ghūñT bhartā thā
ki jis kī lau, agarche vo na sharqī thī na ġharbī thī
magar do nain ke billor meñ kuchh yuuñ bhaḌaktī thī
ki mere sharq o ġharb ik nuur ke haale meñ aiman the
(ḳhudā gar nuur hai to maañ kī ā.ankhoñ ke sivā kin tāqchoñ ko zeb detā hai)
ḳhudā gar radd na kar detā to maiñ ā.ankhoñ se zau kartī isī lau kī qasam khātā
mohabbat ke muqaddas roġhan-e-zaitūñ se jo ḳhud meñ bhaḌaktī thī
mujhe bhūlā nahīñ ab tak
vo pahlā lams jis se merī qismat kī lakīroñ meñ abhī tak tābnākī hai
mohabbat kā vo jibrā.īl mujh se baat kartā thā to maiñ sarshār hotā thā
maiñ Dartā huuñ ḳhudā ke rizq kā kufrān karne se
magar vo chāshnī jo rizq meñ us lams kī shirkat se thī ab ḳhvāb lagtī hai
so maañ ke ba.ad ik gambhīr mushkil meñ paḌā huuñ maiñ
kuchh aisā hai ki mujh ko rabt kuchh baaqī nahīñ ab nūriyān-e-lams-o-ḳhanda kī hikāyat se
so maiñ ab lams o ḳhanda ke sahīfoñ ke binā aajiz huuñ rab ko bhī samajhne se
kuchh aisā hai
ki jaise maiñ kisī bhūlī huī ummat ke ik matrūk mābad meñ abas fariyād kartā huuñ
ḳhudā ko yaad kartā huuñ
KHuda ko yaad karta hun to man ki yaad aati hai
abhi azalon se gardan chaak ki miTTi ka nam aaankhon mein raushan tha ki main ne man ko dekha tha
mujhe muskan ka pahla sahifa yaad hai ab tak
ki dil jis ki tilawat se sakun ke ghunT bharta tha
ki jis ki lau, agarche wo na sharqi thi na gharbi thi
magar do nain ke billor mein kuchh yun bhaDakti thi
ki mere sharq o gharb ek nur ke haale mein aiman the
(KHuda gar nur hai to man ki aaankhon ke siwa kin taqchon ko zeb deta hai)
KHuda gar radd na kar deta to main aaankhon se zau karti isi lau ki qasam khata
mohabbat ke muqaddas roghan-e-zaitun se jo KHud mein bhaDakti thi
mujhe bhula nahin ab tak
wo pahla lams jis se meri qismat ki lakiron mein abhi tak tabnaki hai
mohabbat ka wo jibrail mujh se baat karta tha to main sarshaar hota tha
main Darta hun KHuda ke rizq ka kufran karne se
magar wo chashni jo rizq mein us lams ki shirkat se thi ab KHwab lagti hai
so man ke baad ek gambhir mushkil mein paDa hun main
kuchh aisa hai ki mujh ko rabt kuchh baqi nahin ab nuriyan-e-lams-o-KHanda ki hikayat se
so main ab lams o KHanda ke sahifon ke bina aajiz hun rab ko bhi samajhne se
kuchh aisa hai
ki jaise main kisi bhuli hui ummat ke ek matruk mabad mein abas fariyaad karta hun
KHuda ko yaad karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.