mushkil kaam
hamesha kī tarah
tum aaj bhī achchhī ho
lekin kal bahut achchhī thiiñ
aur vo kal
mirī yādoñ kā hissa hai
vahī jo kal thā
vo hai aaj
lekin farq itnā hai
tumhārī jhiil sī āñkhoñ meñ
mere naam kā
koī kañval khiltā nahīñ
tumhāre hoñT
merā naam dohrāte nahīñ haiñ
rifāqat aur chāhat kā
koī bhī giit
ab gaate nahīñ haiñ
maiñ
kal aur aaj kī duniyāoñ meñ
khoyā huā insāñ
kal ko bhūlnā chāhūñ
to us kā bhūlnā mushkil hai
nā-mumkin nahīñ hai
so maiñ
tanhā.ī ke lamhoñ meñ
mushkil kaam karnā chāhtā huuñ
maiñ nā-mumkin ko
mumkin kī hadoñ meñ qaid karnā chāhtā huuñ
hamesha ki tarah
tum aaj bhi achchhi ho
lekin kal bahut achchhi thin
aur wo kal
meri yaadon ka hissa hai
wahi jo kal tha
wo hai aaj
lekin farq itna hai
tumhaari jhil si aankhon mein
mere nam ka
koi kanwal khilta nahin
tumhaare honT
mera nam dohraate nahin hain
rifaqat aur chahat ka
koi bhi git
ab gate nahin hain
main
kal aur aaj ki duniyaon mein
khoya hua insan
kal ko bhulna chahun
to us ka bhulna mushkil hai
na-mumkin nahin hai
so main
tanhai ke lamhon mein
mushkil kaam karna chahta hun
main na-mumkin ko
mumkin ki hadon mein qaid karna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.