dard ke lā-matanāhī sahrā se guzarne ke baad maañ ne āñkheñ kholīñ
dekhā duā ke liye uThe haath gir chuke the kyūñki maiñ
ro rahī thī
maiñ rotī rahī aur maañ muskurā dī
maiñ bārah saal kī thī jab mujhe pahlī dafa ḳhuun aayā
daadī baabā sab ke kañdhe izāfī bojh se jhuk ga.e kyūñki maiñ ro rahī thī
maiñ rotī rahī aur maañ muskurā dī
maiñ aThārah saal kī thī jab mere ghar pahlā patthar girā aur phir mujhe do ajnabī hāthoñ ne narmī se thāmā
baabā kī aañkh nam ho ga.ī kyūñki maiñ ro rahī thī
maiñ rotī rahī aur maañ muskurā dī
mujhe ḳhuun aanā band ho ga.e the aur sab ke haath duāoñ ke liye uTh chuke the
aur phir sab ke haath gir ga.e kyūñki vo ro rahī thī
vo rotī rahī aur maañ muskurā dī
phir ek din mere bhaa.ī ne ek ḳhuun kar diyā maiñ vinnī ho ga.ī aur sabhī chup rahe
sabhī chup rahe aur maiñ rotī rahī
maiñ rotī rahī aur maañ bilak bilak kar ro dī
dard ke la-matanahi sahra se guzarne ke baad man ne aankhen kholin
dekha dua ke liye uThe hath gir chuke the kyunki main
ro rahi thi
main roti rahi aur man muskura di
main barah sal ki thi jab mujhe pahli dafa KHun aaya
dadi baba sab ke kandhe izafi bojh se jhuk gae kyunki main ro rahi thi
main roti rahi aur man muskura di
main aThaarah sal ki thi jab mere ghar pahla patthar gira aur phir mujhe do ajnabi hathon ne narmi se thama
baba ki aankh nam ho gai kyunki main ro rahi thi
main roti rahi aur man muskura di
mujhe KHun aana band ho gae the aur sab ke hath duaon ke liye uTh chuke the
aur phir sab ke hath gir gae kyunki wo ro rahi thi
wo roti rahi aur man muskura di
phir ek din mere bhai ne ek KHun kar diya main winni ho gai aur sabhi chup rahe
sabhi chup rahe aur main roti rahi
main roti rahi aur man bilak bilak kar ro di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.