muskurahaT ka bij
kis jagah maiñ ne us ko dekhā thā
kaun sā maah
kaun sā din thā
yaad is ke sivā nahīñ kuchh bhī
kaar zan se nikal ga.ī thī magar
kaar se jhāñktā huā chehra
dekh kar mujh ko muskurāyā thā
jaane kyā baat hai
ki maiñ jab bhī
jis jagah bhī udaas hotā huuñ
kaar se jhāñktā huā chehra
yaad aatā hai
muskurātā hai
aur maiñ muskurāne lagtā huuñ
kis jagah main ne us ko dekha tha
kaun sa mah
kaun sa din tha
yaad is ke siwa nahin kuchh bhi
kar zan se nikal gai thi magar
kar se jhankta hua chehra
dekh kar mujh ko muskuraya tha
jaane kya baat hai
ki main jab bhi
jis jagah bhi udas hota hun
kar se jhankta hua chehra
yaad aata hai
muskuraata hai
aur main muskurane lagta hun
- Book : kamaan (Pg. 366)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.