muskuraata hai kanwal
aaj maanā
dard-e-dil behad baḌā hai
raat ko shikva hai din se
sub.h kā ġham bhī sivā hai
tum magar itnā to socho
zindagī kab
ek jaise rāste par
chal sakī hai jo chalegī
ābdīda manzaroñ se
qahqahe bhī phūTte haiñ
aur zamīñ ko
jhuk ke ūñche
āsmāñ bhī chūmte haiñ
ik zarā ruk kar to dekho
hausla kar ke to dekho
kis qadar kīchaḌ meñ rah kar
muskurātā hai kañval
aaj mana
dard-e-dil behad baDa hai
raat ko shikwa hai din se
subh ka gham bhi siwa hai
tum magar itna to socho
zindagi kab
ek jaise raste par
chal saki hai jo chalegi
aabdida manzaron se
qahqahe bhi phuTte hain
aur zamin ko
jhuk ke unche
aasman bhi chumte hain
ek zara ruk kar to dekho
hausla kar ke to dekho
kis qadar kichaD mein rah kar
muskuraata hai kanwal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.