mustaqbil
aane vaalā hai bahut jald ek aisā ahd bhī
dahr ke hālāt-e-maujūd fanā ho jā.eñge
aur hī ho jā.eñge kuchh ye zamīn-o-āsmāñ
aur hī kuchh roz-o-shab sub.h o masā ho jā.eñge
rif.atoñ par har taraf chhā jā.egā zo.af o jumūd
arsh vaale mā.il-e-taht-us-surā ho jā.eñge
pastiyāñ kar leñgī tai saare maqāmāt-e-frāz
ḳhaak ke zarre surayyā tak rasā ho jā.eñge
azmat o zillat kā saarā imtiyāz uTh jā.egā
ek manzil meñ shahanshāh o gadā ho jā.eñge
ḳhaak meñ mil jā.egā sarmāya-dāroñ kā ġhurūr
ahl-e-naḳhvat rāhi-e-mulk-e-fanā ho jā.eñge
faqr-o-fāqa kī jagah le leñge itminān o aish
muflis o mazdūr āzād-e-balā ho jā.eñge
safha-e-hastī se miT jā.egā nām-e-zulm-o-jabr
ahl-e-istibdād sab be-dast-o-pā jā.eñge
hākim o mahkūm meñ baaqī na hogā koī farq
ek ahl-e-taḳht o ahl-e-boriyā ho jā.eñge
munhadim ho jā.egā dīvār-e-zindāñ ḳhud-ba-ḳhud
ahl-e-zindāñ qaid-e-mehnat se rahā ho jā.eñge
TuuT jā.eñgī qafas kī tīliyāñ ik aan meñ
chahchahoñ se bostāñ rañgīñ-navā jo jā.eñge
aane wala hai bahut jald ek aisa ahd bhi
dahr ke haalat-e-maujud fana ho jaenge
aur hi ho jaenge kuchh ye zamin-o-asman
aur hi kuchh roz-o-shab subh o masa ho jaenge
rifaton par har taraf chha jaega zoaf o jumud
arsh wale mail-e-taht-us-sura ho jaenge
pastiyan kar lengi tai sare maqamat-e-fraaz
KHak ke zarre surayya tak rasa ho jaenge
azmat o zillat ka sara imtiyaz uTh jaega
ek manzil mein shahanshah o gada ho jaenge
KHak mein mil jaega sarmaya-daron ka ghurur
ahl-e-naKHwat rahi-e-mulk-e-fana ho jaenge
faqr-o-faqa ki jagah le lenge itminan o aish
muflis o mazdur aazad-e-bala ho jaenge
safha-e-hasti se miT jaega nam-e-zulm-o-jabr
ahl-e-istibdad sab be-dast-o-pa jaenge
hakim o mahkum mein baqi na hoga koi farq
ek ahl-e-taKHt o ahl-e-boriya ho jaenge
munhadim ho jaega diwar-e-zindan KHud-ba-KHud
ahl-e-zindan qaid-e-mehnat se raha ho jaenge
TuT jaengi qafas ki tiliyan ek aan mein
chahchahon se bostan rangin-nawa jo jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.