mustaqbil ka ek din
zamīn ik din
falak ke siine meñ
koī ḳhanjar
utaar degī
ḳhalā.eñ chīḳheñgī
TuuT kar jab
gireñge dhartī pe
chāñd-tāre
idhar masarrat kā jashn hogā
zamīñ ke baasī
bhareñge
apnī havas ke dāman
zamin ek din
falak ke sine mein
koi KHanjar
utar degi
KHalaen chiKHengi
TuT kar jab
girenge dharti pe
chand-tare
idhar masarrat ka jashn hoga
zamin ke basi
bharenge
apni hawas ke daman
- Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 64)
- Author : Shahid Mahuli
- Publication : Miaar Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.