mustaqbil
mustaqbil ik bachcha hai
haal kī god tak aate aate
ruḳhsāroñ par us ke sabze kī chādar chhā jaatī hai
phir karvaT letī hai ḳhizāñ kī zahr meñ Duubī kaalī kaalī tez nigāh
ruḳh pe tamāñche lagte haiñ
dard ke sahrā meñ ik laḌkā jo kal tak ik bachcha thā
sahmā sahmā ruk ruk kar aage baḌhtā jaatā hai
aur kabhī ye bhī hotā hai
dil ke darvāzoñ par aa kar ḳhvāb kī pariyāñ hañstī haiñ aur ye laḌkā
in pariyoñ ke lālach meñ hañs hañs kar aage baḌhtā hai
vaqt ke rath par donoñ yūñhī aage pīchhe bhāgte haiñ
aage pīchhe
jaane kab tak
aur āḳhir vo manzil bhī aa jaatī hai
jab ye alhaḌ sā laḌkā jo kal tak ik ma.asūm sā nanhā bachcha thā
shāne par ḳhvāboñ kī laash uThā.e
dil meñ apne zaḳhm-e-tamannā kā nashtar aur dard chhupā.e
siine meñ aatī jaatī sāñsoñ kā tūfān liye
āñkhoñ meñ ik pyaas liye
thakā thakā sā
gir paḌtā hai sustāne ko
god meñ apne maazī kī
aur jab uThtā hai to duniyā us ko būḌhā kahtī hai
mustaqbil ek bachcha hai
haal ki god tak aate aate
ruKHsaron par us ke sabze ki chadar chha jati hai
phir karwaT leti hai KHizan ki zahr mein Dubi kali kali tez nigah
ruKH pe tamanche lagte hain
dard ke sahra mein ek laDka jo kal tak ek bachcha tha
sahma sahma ruk ruk kar aage baDhta jata hai
aur kabhi ye bhi hota hai
dil ke darwazon par aa kar KHwab ki pariyan hansti hain aur ye laDka
in pariyon ke lalach mein hans hans kar aage baDhta hai
waqt ke rath par donon yunhi aage pichhe bhagte hain
aage pichhe
jaane kab tak
aur aaKHir wo manzil bhi aa jati hai
jab ye alhaD sa laDka jo kal tak ek masum sa nanha bachcha tha
shane par KHwabon ki lash uThae
dil mein apne zaKHm-e-tamanna ka nashtar aur dard chhupae
sine mein aati jati sanson ka tufan liye
aankhon mein ek pyas liye
thaka thaka sa
gir paDta hai sustane ko
god mein apne mazi ki
aur jab uThta hai to duniya us ko buDha kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.