mustaqbil
tere liye meñ kyā kyā sadme sahtā huuñ
sañgīnoñ ke raaj meñ bhī sach kahtā huuñ
merī raah meñ maslahatoñ ke phuul bhī haiñ
terī ḳhātir kāñTe chuntā rahūñgā
tū aa.egā usī aas pe jhuum rahā hai dil
dekh ai mustaqbil
ik ik kar ke saare sāthī chhoḌ ga.e
mujh se mere rahbar bhī muñh moḌ ga.e
sochtā huuñ be-kār gila hai ġhairoñ kā
apne hī jab pyaar kā naatā toḌ ga.e
tere bhī dushman haiñ mere ḳhvāboñ ke qātil
dekh ai mustaqbil
jahāñ ke aage sar na jhukāyā maiñ ne kabhī
sifloñ ko apnā na banāyā maiñ ne kabhī
daulat aur ohdoñ ke bal par jo aiñThe
un logoñ ko muñh na lagāyā maiñ ne kabhī
maiñ ne chor kahā choroñ ko khul ke sar-e-mahfil
dekh ai mustaqbil
zulf kī baat kiye jaate haiñ
din ko yuuñ raat kiye jaate haiñ
chand aañsū haiñ unheñ bhī 'jālib'
nazar hālāt kiye jaate haiñ
tere liye mein kya kya sadme sahta hun
sanginon ke raj mein bhi sach kahta hun
meri rah mein maslahaton ke phul bhi hain
teri KHatir kanTe chunta rahunga
tu aaega usi aas pe jhum raha hai dil
dekh ai mustaqbil
ek ek kar ke sare sathi chhoD gae
mujh se mere rahbar bhi munh moD gae
sochta hun be-kar gila hai ghairon ka
apne hi jab pyar ka nata toD gae
tere bhi dushman hain mere KHwabon ke qatil
dekh ai mustaqbil
jahan ke aage sar na jhukaya main ne kabhi
siflon ko apna na banaya main ne kabhi
daulat aur ohdon ke bal par jo ainThe
un logon ko munh na lagaya main ne kabhi
main ne chor kaha choron ko khul ke sar-e-mahfil
dekh ai mustaqbil
zulf ki baat kiye jate hain
din ko yun raat kiye jate hain
chand aansu hain unhen bhi 'jalib'
nazar haalat kiye jate hain
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 210)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.