mutalba
kuchalte jismoñ kā dard ab bhī
bikhar rahā hai badan badan meñ
sulagte ḳhemoñ kī aag ab bhī
bhaḌak rahī hai nazar nazar meñ
sisakte bachchoñ kī aah ab bhī
zamīn-e-dil ko hilā rahī hai
taḌaptī lāshoñ kī chīḳh ab bhī
bikhar rahī hai samā.atoñ meñ
ragoñ se apnī ham apnā ḳhuuñ jo
bahā rahe the bahā rahe haiñ
hamārī sāñsoñ meñ us kī ḳhushbū
pighal pighal kar bikhar rahī hai
ham apne ḳhuuñ kā
ḳhirāj leñge
kuchalte jismon ka dard ab bhi
bikhar raha hai badan badan mein
sulagte KHemon ki aag ab bhi
bhaDak rahi hai nazar nazar mein
sisakte bachchon ki aah ab bhi
zamin-e-dil ko hila rahi hai
taDapti lashon ki chiKH ab bhi
bikhar rahi hai samaaton mein
ragon se apni hum apna KHun jo
baha rahe the baha rahe hain
hamari sanson mein us ki KHushbu
pighal pighal kar bikhar rahi hai
hum apne KHun ka
KHiraj lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.