mutriba saz uTha
mutriba saaz uThā raat chalī jā.egī
phir vahī giit sunā raat chalī jā.egī
shab kī āġhosh meñ mad.hosh sitāre hoñge
dil pe tanhā.ī ke chalte hue aare hoñge
sub.h phir hogī vahī shoḳh nazāre hoñge
ġham ke māroñ ne kahā raat chalī jā.egī
mutriba saaz uThā raat chalī jā.egī
zulf khole hue barsāt kā mauqa aaya
baad muddat ke mulāqāt kā mauqa aaya
haa.e taqdīr se ye baat kā mauqa aaya
sham-e-umīd jalā raat chalī jā.egī
mutriba saaz uThā raat chalī jā.egī
tujh ko ‘zarrīn’ chamakte hue tāroñ kī qasam
in machaltī huī mad.hosh bahāroñ kī qasam
husn-e-rangīñ kī qasam chāñd sitāroñ kī qasam
dil-rubā lauT bhī aa raat chalī jā.egī
mutriba saaz uThā raat chalī jā.egī
mutriba saz uTha raat chali jaegi
phir wahi git suna raat chali jaegi
shab ki aaghosh mein madhosh sitare honge
dil pe tanhai ke chalte hue aare honge
subh phir hogi wahi shoKH nazare honge
gham ke maron ne kaha raat chali jaegi
mutriba saz uTha raat chali jaegi
zulf khole hue barsat ka mauqa aaya
baad muddat ke mulaqat ka mauqa aaya
hae taqdir se ye baat ka mauqa aaya
sham-e-umid jala raat chali jaegi
mutriba saz uTha raat chali jaegi
tujh ko ‘zarrin’ chamakte hue taron ki qasam
in machalti hui madhosh bahaaron ki qasam
husn-e-rangin ki qasam chand sitaron ki qasam
dil-ruba lauT bhi aa raat chali jaegi
mutriba saz uTha raat chali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.