mutriba
shab kī ḳhamoshiyoñ meñ soī huī hai duniyā
chup-chāp haiñ sitāre ḳhāmosh āsmāñ hai
lekin ai mutriba tū bedār hai abhī tak
ik iztirāb-e-dariyā dil meñ tire nihāñ hai
bastī se duur aa kar baiThī hai kyoñ lab-e-jū
barbat liye baġhal meñ kuchh gungunā rahī thī
naġhma-sarā.iyoñ pe āmāda thī tabī.at
aahaT ko merī pā kar ḳhāmosh ho ga.ī hai
aane se mere shāyad barham huī hai ḳhalvat
maiñ bū-e-naġhma pā kar aayā thā ġham bhulāne
muñh moḌ kar jahāñ se phirtā huuñ dasht-o-sahrā
masrūf-e-justujū huuñ manzil se be-ḳhabar huuñ
duniyā ke gulistāñ kā bhaTkā huā huuñ taa.ir
jo shāḳh se na Tapkā vo ras bharā samar huuñ
rañgīñ-navā.iyoñ se dil kī lagī bujhā de
phir chheḌ apnā barbat phir hosh mere kho de
naġhmoñ se tere gūñje saarī fazā-e-sahrā
rūhul-qudus ke shahpar raag apnā bhuul jaa.eñ
jannat ke tā.eroñ meñ ik hashr sā ho barpā
tere suroñ ko sun kar tham jaa.eñ bahte dariyā
har taan terī goyā hai ābshār-e-naġhma
sehr-e-halāl hai ye yā hai tirā tarannum
terī dabī sadā hai yā paḌ rahī hai shabnam
terī dhuneñ nahīñ haiñ ġhunchoñ kā hai tabassum
terī ḳhamoshiyāñ bhī kyā ras-bharī haiñ kaa.in
gar chheḌ de ai jogan merā bhī tū do-tāra
ho jaa.eñ zindagī ke naġhme hazār paidā
Dhal jaa.e ruuh merī sarmast zamzamoñ meñ
mausīqī-e-abad ke dil meñ hoñ taar paidā
haañ chheḌ de do-tāra maiñ kab se muntazir huuñ
shab ki KHamoshiyon mein soi hui hai duniya
chup-chap hain sitare KHamosh aasman hai
lekin ai mutriba tu bedar hai abhi tak
ek iztirab-e-dariya dil mein tere nihan hai
basti se dur aa kar baiThi hai kyon lab-e-ju
barbat liye baghal mein kuchh gunguna rahi thi
naghma-saraiyon pe aamada thi tabiat
aahaT ko meri pa kar KHamosh ho gai hai
aane se mere shayad barham hui hai KHalwat
main bu-e-naghma pa kar aaya tha gham bhulane
munh moD kar jahan se phirta hun dasht-o-sahra
masruf-e-justuju hun manzil se be-KHabar hun
duniya ke gulistan ka bhaTka hua hun tair
jo shaKH se na Tapka wo ras bhara samar hun
rangin-nawaiyon se dil ki lagi bujha de
phir chheD apna barbat phir hosh mere kho de
naghmon se tere gunje sari faza-e-sahra
ruhul-qudus ke shahpar rag apna bhul jaen
jannat ke taeron mein ek hashr sa ho barpa
tere suron ko sun kar tham jaen bahte dariya
har tan teri goya hai aabshaar-e-naghma
sehr-e-halal hai ye ya hai tera tarannum
teri dabi sada hai ya paD rahi hai shabnam
teri dhunen nahin hain ghunchon ka hai tabassum
teri KHamoshiyan bhi kya ras-bhari hain kain
gar chheD de ai jogan mera bhi tu do-tara
ho jaen zindagi ke naghme hazar paida
Dhal jae ruh meri sarmast zamzamon mein
mausiqi-e-abad ke dil mein hon tar paida
han chheD de do-tara main kab se muntazir hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.