muTThi khol
chāroñ taraf añdherā hai
aur us kī muTThī meñ jugnū haiñ
maiñ kahtā huuñ
muTThī khol
muTThī khol ujālā hogā
sab bole, vo manzar dekhne vaalā hogā
vo kahtā hai
muTThī khol
āsmān par chāñd
na koī sitārā hai
chāroñ taraf añdhiyārā hai
lekin mere haath meñ to añgārā hai
chaaron taraf andhera hai
aur us ki muTThi mein jugnu hain
main kahta hun
muTThi khol
muTThi khol ujala hoga
sab bole, wo manzar dekhne wala hoga
wo kahta hai
muTThi khol
aasman par chand
na koi sitara hai
chaaron taraf andhiyara hai
lekin mere hath mein to angara hai
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.