musa ki talash
apne chehroñ pe sahrā ke raqsāñ bagūle liye
apne lab ko siye
apnī āñkhoñ meñ mahrūmiyoñ ko sameTe hue
apnī palkoñ kī sahmī huī chilmanoñ meñ
chīḳhtī tishnagī ko chhupā.e
zindagī terī ye zinda lāsheñ
reñgtī phir rahī haiñ
dar-ba-dar kūcha kūcha galī-dar-galī
az ufaq tā ufaq
koī iisā nafas
koī shañkar sifat
un ke chehroñ pe raqsāñ bagūle
un kī āñkhoñ kī mahrūmiyāñ
un kī palkoñ kī vo chīḳhtī tishnagī
chhīn le
toḌ de un ke lab kā sukūt-e-girāñ
aaj bār-e-digar
vaqt ko justujū hai
aise insān kī
jis kī bas ek zarb-e-asā se
chashma-e-āb-e-haivāñ ubal jaa.e
jāñ-ba-lab zindagī ke badan se
tishnagī dard ban kar nikal jaa.e
apne chehron pe sahra ke raqsan bagule liye
apne lab ko siye
apni aankhon mein mahrumiyon ko sameTe hue
apni palkon ki sahmi hui chilmanon mein
chiKHti tishnagi ko chhupae
zindagi teri ye zinda lashen
rengti phir rahi hain
dar-ba-dar kucha kucha gali-dar-gali
az ufaq ta ufaq
koi isa nafas
koi shankar sifat
un ke chehron pe raqsan bagule
un ki aankhon ki mahrumiyan
un ki palkon ki wo chiKHti tishnagi
chhin le
toD de un ke lab ka sukut-e-giran
aaj bar-e-digar
waqt ko justuju hai
aise insan ki
jis ki bas ek zarb-e-asa se
chashma-e-ab-e-haiwan ubal jae
jaan-ba-lab zindagi ke badan se
tishnagi dard ban kar nikal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.