hazāroñ saal pahle jab
zamīñ par sab samūcha thā
lakīreñ khīñchnā insān ne
sīkhā nahīñ thā tab
ajab duniyā thī
jo qudrat hī kī pāband thī
lekin
kisī ne yuuñ hī ġhaflat meñ
yā shāyad jaan kar hī ek
jhūTā qissa bun Daalā
bas us ke baa'd se ham sab
usī ik jhuuT ke kitne
na.e version sunāte jā rahe haiñ
aur nasloñ ko
usī ik jhuuT pe jhūTā yaqīñ
dilvāne kī ḳhātir
unheñ laḌvā rahe haiñ
hazaron sal pahle jab
zamin par sab samucha tha
lakiren khinchna insan ne
sikha nahin tha tab
ajab duniya thi
jo qudrat hi ki paband thi
lekin
kisi ne yun hi ghaflat mein
ya shayad jaan kar hi ek
jhuTa qissa bun Dala
bas us ke ba'd se hum sab
usi ek jhuT ke kitne
nae wersion sunate ja rahe hain
aur naslon ko
usi ek jhuT pe jhuTa yaqin
dilwane ki KHatir
unhen laDwa rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.