na ek patte ko ro baba
shafaq jab phuul kar rañg-e-hinā thī
aur havā ke lab sile the
ek būḌhā peḌ bargad kā
khaḌā gañgā-kināre
dil-girafta
ḳhud se mahv-e-guftugū thā
''vo mirī ik shāḳh kā patta
mire hī jism kā hissa
girā
gir kar sitārā ho gayā
paanī kā pyārā ho gayā
mujh se kināra ho gayā''
vahīñ sargoshiyoñ meñ
ik patiñgā
gungunāyā kaan meñ us ke
''nirāshā tum meñ kyuuñ jaagī
mire bābā?
tumhāre añg ke kitne hī patte
ab bhī gun gaate tumhārā haiñ
sahārā tum bano un kā
tumhārā vo sahārā haiñ
na ik patte ko ro bābā!''
shafaq jab phul kar rang-e-hina thi
aur hawa ke lab sile the
ek buDha peD bargad ka
khaDa ganga-kinare
dil-girafta
KHud se mahw-e-guftugu tha
wo meri ek shaKH ka patta
mere hi jism ka hissa
gira
gir kar sitara ho gaya
pani ka pyara ho gaya
mujh se kinara ho gaya
wahin sargoshiyon mein
ek patinga
gungunaya kan mein us ke
nirasha tum mein kyun jagi
mere baba?
tumhaare ang ke kitne hi patte
ab bhi gun gate tumhaara hain
sahaara tum bano un ka
tumhaara wo sahaara hain
na ek patte ko ro baba!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.