na jaane kab likha jae
tahayyur kī fazāoñ meñ
koī aisā parinda hai
jo pakḌā.ī nahīñ detā
hai koī ḳhvāb aisā bhī
azal se hai jo an-dekhā
koī aisī sadā bhī hai
samā.at se varā hai jo
basārat kī hadoñ se duur ik manzar hai jo ab tak
tasavvur meñ nahīñ aayā
kahīñ kuchh hai
jo ik pal dil meñ aa Thahre
to jism-o-jān ke hone kā ik bain-e-havāla ho
jo gītoñ meñ utar aa.e
to is dhartī se niile āsmāñ tak vajd taarī ho
jo lafzoñ meñ rache to baat phūloñ kī tarah mahke
agar lamhoñ meñ dhaḌke to zamānoñ meñ sadā phaile
agar manzar ke andar ho
to bīnā.ī ko apnā haq adā karne kī jaldī ho
vo shāyad hai
ik aisī dāstāñ jo ruuh ke andar hai poshīda
ik aisī saañs jo siine kī tah meñ chhup ke soī hai
ik aisā chāñd jo aflāk se bāhar chamaktā hai
muqaddar hī badal jaa.e
use gar likh diyā jaa.e
hamāre darmiyāñ honā
tahayyur ki fazaon mein
koi aisa parinda hai
jo pakDai nahin deta
hai koi KHwab aisa bhi
azal se hai jo an-dekha
koi aisi sada bhi hai
samaat se wara hai jo
basarat ki hadon se dur ek manzar hai jo ab tak
tasawwur mein nahin aaya
kahin kuchh hai
jo ek pal dil mein aa Thahre
to jism-o-jaan ke hone ka ek bain-e-hawala ho
jo giton mein utar aae
to is dharti se nile aasman tak wajd tari ho
jo lafzon mein rache to baat phulon ki tarah mahke
agar lamhon mein dhaDke to zamanon mein sada phaile
agar manzar ke andar ho
to binai ko apna haq ada karne ki jaldi ho
wo shayad hai
ek aisi dastan jo ruh ke andar hai poshida
ek aisi sans jo sine ki tah mein chhup ke soi hai
ek aisa chand jo aflak se bahar chamakta hai
muqaddar hi badal jae
use gar likh diya jae
hamare darmiyan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.