na qael hote hain na zail
banjar chehre
jin par
na bārish kī pahlī buuñd kā
iz.hār ugtā hai
na aate jaate lamhoñ kā
koī iqrār inkār
na itmīnān na Dar
āñkheñ
jin meñ koī nigāh
palkoñ se nahīñ ulajhtī
baaqī havās bhī
ḳhushbū aur ḳhushbū kī shohrat se
āvāz aur āvāz kī quvvat se
yaksar aarī haiñ
kaun haiñ ye log
kis mauj-e-fuzūliyat kī zad meñ aa ga.e haiñ
chup khaḌe haiñ
aur ham
din bhar meñ
shahr ke saare
farishtoñ aur shaitānoñ se
mil kar lauT aate haiñ
magar ye chup khaḌe haiñ
na qaa.el hote haiñ
na zā.il!
in se hamārā ta.alluq
abhī tak vāzeh nahīñ huā
ta.alluq is liye
ki ham mazdūr haiñ
aur ye jānñe kā
ishtiyāq rakhte haiñ
hameñ kyā kaam milegā
in ke liye tower banāne kā
ki in ke liye qabreñ khodne kaa!
banjar chehre
jin par
na barish ki pahli bund ka
izhaar ugta hai
na aate jate lamhon ka
koi iqrar inkar
na itminan na Dar
aankhen
jin mein koi nigah
palkon se nahin ulajhti
baqi hawas bhi
KHushbu aur KHushbu ki shohrat se
aawaz aur aawaz ki quwwat se
yaksar aari hain
kaun hain ye log
kis mauj-e-fuzuliyat ki zad mein aa gae hain
chup khaDe hain
aur hum
din bhar mein
shahr ke sare
farishton aur shaitanon se
mil kar lauT aate hain
magar ye chup khaDe hain
na qael hote hain
na zail!
in se hamara talluq
abhi tak wazeh nahin hua
talluq is liye
ki hum mazdur hain
aur ye jaanne ka
ishtiyaq rakhte hain
hamein kya kaam milega
in ke liye tower banane ka
ki in ke liye qabren khodne ka!
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 210)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.