na yun saj-sanwar ke raha karo
hai tumheñ junūn ki husn par koī kaam roz nayā karo
jaleñ mah-jabīñ koī iḳhtiyār tum aise nāz-o-adā karo
ho hasīn itnī ki dil sabhī ke churā jhalak meñ liyā karo
tirā husn fitne kā hai sabab na yuuñ saj-sañvar ke rahā karo
ye shabāb apne uruuj par ye sabāhatoñ kī karāmateñ
tire har libās kī shoḳhiyāñ tirī har jhalak kī qayāmateñ
kahīñ hashr jaa.e na ho bapā na yuuñ rāstoñ meñ phirā karo
tirī tarz chalne kī hai ġhazab na yuuñ saj-sañvar ke rahā karo
ye tire gale ke nuqūsh terī safed bāñhoñ pe jāliyāñ
tirī qat.a bāloñ kī sah tarah nigah surmagīñ tirī bāliyāñ
lago tum hī aks hayāt kā na yuuñ ḳhud ko jalva-numā karo
tirī tab.a sham.a se hai ajab na yuuñ saj-sañvar ke rahā karo
ki ġhurūr-e-husn meñ narmiyāñ ye tirā jamāl na rakh sake
na kahīñ ho aisā kisī ke dil kā bhī tū ḳhayāl na rakh sake
na churāo nīñdeñ shabāb kī na sukūn dil se judā karo
baḌe jān-levā haiñ tere Dhab na yuuñ saj-sañvar ke rahā karo
hai tumhein junun ki husn par koi kaam roz naya karo
jalen mah-jabin koi iKHtiyar tum aise naz-o-ada karo
ho hasin itni ki dil sabhi ke chura jhalak mein liya karo
tera husn fitne ka hai sabab na yun saj-sanwar ke raha karo
ye shabab apne uruj par ye sabahaton ki karamaten
tere har libas ki shoKHiyan teri har jhalak ki qayamaten
kahin hashr jae na ho bapa na yun raston mein phira karo
teri tarz chalne ki hai ghazab na yun saj-sanwar ke raha karo
ye tere gale ke nuqush teri safed banhon pe jaliyan
teri qata baalon ki sah tarah nigah surmagin teri baaliyan
lago tum hi aks hayat ka na yun KHud ko jalwa-numa karo
teri taba shama se hai ajab na yun saj-sanwar ke raha karo
ki ghurur-e-husn mein narmiyan ye tera jamal na rakh sake
na kahin ho aisa kisi ke dil ka bhi tu KHayal na rakh sake
na churao ninden shabab ki na sukun dil se juda karo
baDe jaan-lewa hain tere Dhab na yun saj-sanwar ke raha karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.