na-ashnai
zehn ke chaukhaTe meñ ik tasvīr
is tarah numāyāñ thī
jaise tāroñ ke darmiyāñ mahtāb
jaise phūloñ ke biich surḳh gulāb
dekhte dekhte magar ik din
chaukhaTā gir ke chuur chuur huā
aur
kircheñ shīshe kī
masḳh chehre ko kar ga.iiñ is tarah
jaise maiñ āshnā nahīñ us se
zehn ke chaukhaTe mein ek taswir
is tarah numayan thi
jaise taron ke darmiyan mahtab
jaise phulon ke bich surKH gulab
dekhte dekhte magar ek din
chaukhaTa gir ke chur chur hua
aur
kirchen shishe ki
masKH chehre ko kar gain is tarah
jaise main aashna nahin us se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.