na-bina logon ki zaban
bechāre nā-bīnā log
chaḌh leñ ilm kā ziina log
muñh in se kyoñ moḌeñ ham
ilm se in ko joḌeñ ham
baat na ham ye jaa.eñ bhuul
in ke alag se haiñ schōl
log vahāñ ye paḌhte haiñ
ilm ke ziine chaḌhte haiñ
in kā vahāñ hai apnā nisāb
apnī kitābeñ apnā hisāb
in kī zabāñ kā naam brail
jaise anokhā koī khel
nā-bīnā logoñ kī zabān
apnī alag is kī pahchān
ḳhat bhī nihāyat hai maḳhsūs
uñgliyoñ se kar ke mahsūs
lete haiñ mafhūm vo jaan
vaah re mālik terī shaan
bechaare na-bina log
chaDh len ilm ka zina log
munh in se kyon moDen hum
ilm se in ko joDen hum
baat na hum ye jaen bhul
in ke alag se hain school
log wahan ye paDhte hain
ilm ke zine chaDhte hain
in ka wahan hai apna nisab
apni kitaben apna hisab
in ki zaban ka nam brail
jaise anokha koi khel
na-bina logon ki zaban
apni alag is ki pahchan
KHat bhi nihayat hai maKHsus
ungliyon se kar ke mahsus
lete hain mafhum wo jaan
wah re malik teri shan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.