na-malum hawaon ki lambi sargoshiyan
laḌkiyoñ se ziyāda ḳhūbsūrat mausamoñ meñ
ye dariyā
kahāñ le jaate haiñ
kyā pahāḌoñ meñ
chakoroñ kī bastiyoñ se udhar bhī
parinde uḌte haiñ
yā dhund ke dūsre kināre
añdhere ḳhālī ho jaate haiñ
koī pūchhe aisī mūslā-dhār havāoñ meñ
uḌte hue rāste
kahāñ le jaate haiñ
kyā āñsūoñ meñ
ḳhvāb dekhne ke dukhoñ se us paar
zamīn bahut sabz ho jaatī hai
aur āsmāñ shahroñ ke chehre bhuul jaatā hai
sach pūchho to āsmān kā pyaar
samundar ke pāniyoñ se ziyāda ḳhūbsūrat hai
aur terī chhātiyoñ kī ḳhvāhish
jangalī phaloñ se ziyāda vahshī
kaun batā.e aisī rātoñ meñ
jab phuul dhanak ban jaate haiñ
parinde alaav taap kar zamīn chhoḌ dete haiñ
ham kitnā mar jaate haiñ
laDkiyon se ziyaada KHubsurat mausamon mein
ye dariya
kahan le jate hain
kya pahaDon mein
chakoron ki bastiyon se udhar bhi
parinde uDte hain
ya dhund ke dusre kinare
andhere KHali ho jate hain
koi puchhe aisi musla-dhaar hawaon mein
uDte hue raste
kahan le jate hain
kya aansuon mein
KHwab dekhne ke dukhon se us par
zamin bahut sabz ho jati hai
aur aasman shahron ke chehre bhul jata hai
sach puchho to aasman ka pyar
samundar ke paniyon se ziyaada KHubsurat hai
aur teri chhatiyon ki KHwahish
jangali phalon se ziyaada wahshi
kaun batae aisi raaton mein
jab phul dhanak ban jate hain
parinde alaw tap kar zamin chhoD dete hain
hum kitna mar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.