na-mukammal taaruf
aur janmoñ se tire andar chhupā thā vo bhī maiñ
aur tire iz.hār se bāhar uḌā thā vo bhī maiñ
aur tujh se tujh talak jo fāsla thā vo bhī maiñ
aur saare fāsloñ meñ rāsta thā vo bhī maiñ
aur terī raat kī zad par jalā thā vo bhī maiñ
aur aivān-e-falak meñ jo bujhā thā vo bhī maiñ
aur khañDar ke dil meñ jo naġhma-sarā thā vo bhī maiñ
aur sifar ke gumbadoñ meñ gūñjtā thā vo bhī maiñ
aur na hone kī fazā meñ ho gayā thā vo bhī maiñ
aur tere rañg se bichhḌā huā thā vo bhī maiñ
aur badan ke paar tujh ko DhūñDtā thā vo bhī maiñ
aur sāñsoñ ke kināroñ par basā thā vo bhī maiñ
aur adam ke bādbānoñ meñ havā thā vo bhī maiñ
aur bikhrī kahkashāñ kā silsila thā vo bhī maiñ
aur sayyāroñ ke mehvar se ugā thā vo bhī maiñ
aur azal kī ruuh se pahle banā thā vo bhī maiñ
aur abad ke us taraf ik naqsh-e-pā thā vo bhī maiñ
aur ḳhud apne se pahle aa paḌā thā vo bhī maiñ
aur ḳhud apne se pahle jā chukā thā vo bhī maiñ
aur janmon se tere andar chhupa tha wo bhi main
aur tere izhaar se bahar uDa tha wo bhi main
aur tujh se tujh talak jo fasla tha wo bhi main
aur sare faslon mein rasta tha wo bhi main
aur teri raat ki zad par jala tha wo bhi main
aur aiwan-e-falak mein jo bujha tha wo bhi main
aur khanDar ke dil mein jo naghma-sara tha wo bhi main
aur sifar ke gumbadon mein gunjta tha wo bhi main
aur na hone ki faza mein ho gaya tha wo bhi main
aur tere rang se bichhDa hua tha wo bhi main
aur badan ke par tujh ko DhunDta tha wo bhi main
aur sanson ke kinaron par basa tha wo bhi main
aur adam ke baadbanon mein hawa tha wo bhi main
aur bikhri kahkashan ka silsila tha wo bhi main
aur sayyaron ke mehwar se uga tha wo bhi main
aur azal ki ruh se pahle bana tha wo bhi main
aur abad ke us taraf ek naqsh-e-pa tha wo bhi main
aur KHud apne se pahle aa paDa tha wo bhi main
aur KHud apne se pahle ja chuka tha wo bhi main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.