na-mumkin
ai mire rāh-e-safar ke sāthī
tum mirī maut kī dahlīz talak saath sahī
ziist kī raat ke is pichhle pahar
kyoñ pilāte ho mohabbat kī davā
ab mirā rog to achchhā nahīñ hone vaalā
ab koī ḳhvāb bhī sachchā nahīñ hone vaalā
tum mirī aañkh se Dhalke hue ashkoñ ko
phir se vāpas unhī do āñkhoñ meñ lauTā doge
kyā mirā khoyā huā vaqt mujhe lā doge
kyoñ mire chuum ke lab dard jagāte ho mirā
kyā kabhī sūkhe hue gul pe bahār aa.ī hai
ab mire TuuT ke bikhre hue TukḌoñ ko na joḌ
TuuT ke bikhre hue shīshe na juḌte dekhe
par-kaTe panchhī havāoñ meñ na uḌte dekhe
ai mere rah-e-safar ke sathi
tum meri maut ki dahliz talak sath sahi
zist ki raat ke is pichhle pahar
kyon pilate ho mohabbat ki dawa
ab mera rog to achchha nahin hone wala
ab koi KHwab bhi sachcha nahin hone wala
tum meri aankh se Dhalke hue ashkon ko
phir se wapas unhi do aankhon mein lauTa doge
kya mera khoya hua waqt mujhe la doge
kyon mere chum ke lab dard jagate ho mera
kya kabhi sukhe hue gul pe bahaar aai hai
ab mere TuT ke bikhre hue TukDon ko na joD
TuT ke bikhre hue shishe na juDte dekhe
par-kaTe panchhi hawaon mein na uDte dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.