na-muradi ki ek nazm
mujhe pahle lagtā thā
mere bhī kamre kī haiñ chaar dīvāreñ
aur ek dar hai
aur is dar ke bāhar
mirā ek ghar hai
aur is ghar ke bāhar mirī ek duniyā
ab ikkīs din se
isī ek kamre meñ
rozāna chaubīs ghanToñ se kuchh sā.ateñ kam
musalsal muqayyad
maiñ ye dekhtī huuñ
mire chāroñ jānib
faqat dar hī dar haiñ
sabhī dar khule haiñ
har ik dar ke bāhar
zamāna judā hai
kahīñ bain kartī subuksār hūreñ
kahīñ raqs karte barahna farishte
kahīñ sabz malbūs meñ zard rūheñ ki shāyad hayūle
kahīñ jism hī jism
jin meñ kabhī ruuh phūñkī ga.ī thī
magar ab vo kaTh-putliyāñ haiñ
jo ḳhud apnī Doreñ hilāte hue
ghup añdhere meñ utrī chalī jā rahī haiñ
kahīñ zahr piine se munkir hai suqrāt
aur bhiik meñ zindagī māñgtā hai
kahīñ par hai nero
vahī bāñsurī jo bajātā rahā shahr jaltā rahā
ab vo azhdar kī sūrat gale meñ hamā.il
shikanje ko aise kase jā rahī hai
ki nero kī āñkheñ
ubal kar jale shahr kī raakh par bah rahī haiñ musalsal
kahīñ hirniyāñ ek hī chaukḌī meñ
zamīñ āsmāñ ke qulābe milāne meñ
kab se magan qahqahe ret par mārtī haiñ
jahāñ par vahīñ phūl-ban khil uTheñ
aur majnūñ bhulā.e hue apnī lailā ko yaksar
chune phūl-ban se faqat surḳh kaliyāñ
kahīñ par zuleḳhā hai
jo nāḳhunoñ kī darāḌoñ meñ aTke hue
sa.ad kurte ke dhāgoñ ko
dāñtoñ se noche chalī jā rahī hai
karāhe chalī jā rahī hai
aur ik dar ke bāhar
jahāñ tū khaḌā hai
maiñ yak-bārgī us kī jānib lapaktī huuñ
dahlīz daldal hai
daldal kī kyā ho bayāñ be-karānī
falak is meñ Duube to vāpas na ubhre
mujhe pahle lagta tha
mere bhi kamre ki hain chaar diwaren
aur ek dar hai
aur is dar ke bahar
mera ek ghar hai
aur is ghar ke bahar meri ek duniya
ab ikkis din se
isi ek kamre mein
rozana chaubis ghanTon se kuchh saaten kam
musalsal muqayyad
main ye dekhti hun
mere chaaron jaanib
faqat dar hi dar hain
sabhi dar khule hain
har ek dar ke bahar
zamana juda hai
kahin bain karti subuksar huren
kahin raqs karte barahna farishte
kahin sabz malbus mein zard ruhen ki shayad hayule
kahin jism hi jism
jin mein kabhi ruh phunki gai thi
magar ab wo kaTh-putliyan hain
jo KHud apni Doren hilate hue
ghup andhere mein utri chali ja rahi hain
kahin zahr pine se munkir hai suqraat
aur bhik mein zindagi mangta hai
kahin par hai nero
wahi bansuri jo bajata raha shahr jalta raha
ab wo azhdar ki surat gale mein hamail
shikanje ko aise kase ja rahi hai
ki nero ki aankhen
ubal kar jale shahr ki rakh par bah rahi hain musalsal
kahin hirniyan ek hi chaukDi mein
zamin aasman ke qulabe milane mein
kab se magan qahqahe ret par marti hain
jahan par wahin phul-ban khil uThen
aur majnun bhulae hue apni laila ko yaksar
chune phul-ban se faqat surKH kaliyan
kahin par zuleKHa hai
jo naKHunon ki daraDon mein aTke hue
sad kurte ke dhagon ko
danton se noche chali ja rahi hai
karahe chali ja rahi hai
aur ek dar ke bahar
jahan tu khaDa hai
main yak-bargi us ki jaanib lapakti hun
dahliz daldal hai
daldal ki kya ho bayan be-karani
falak is mein Dube to wapas na ubhre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.