na-rasa
mujhe barbād karne meñ
maza aayā to kuchh hogā
siyāhī pot dī taqdīr par
lā kar mujhe tārīkiyoñ ke ġhaar meñ chhoḌā
jahāñ maiñ saath ik ik saañs ke
maqdūr-bhar koshish kiye jaatā huuñ lekin
mujhe miltī nahīñ hai raah jis par
maiñ qadam aage baḌhā.ūñ
apne hisse kī
vo chīzeñ chhīn luuñ
jin ko
chhupā kar merī āñkhoñ se
mire hī vāste rakkhā gayā hai
mujhe barbaad karne mein
maza aaya to kuchh hoga
siyahi pot di taqdir par
la kar mujhe tarikiyon ke ghaar mein chhoDa
jahan main sath ek ek sans ke
maqdur-bhar koshish kiye jata hun lekin
mujhe milti nahin hai rah jis par
main qadam aage baDhaun
apne hisse ki
wo chizen chhin lun
jin ko
chhupa kar meri aankhon se
mere hi waste rakkha gaya hai
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 82)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.