na-rasai
nuz.hat-e-shām ne jab raḳht-e-safar bāñdh liyā
dard ne ruuh ko bedārī kā paiġhām diyā
aah nāsūr-e-vafā
ghar se ham ishrat-e-āzād ke shaidā nikle
ho ke jāñ-sozī tanhā.ī se paspā nikle
le kar apne dil-e-bīmār ko tanhā nikle
soch rakkhā thā ki ab yuuñ use bahlā.eñge
raqs meñ mai meñ kisī saaz meñ kho jā.eñge
hosh se aaj to mahrūm se ho jā.eñge
taaki ho jins-e-tamannā ke fusūñ se chhūTe
maslahat kosh bane qaid-e-junūñ se chhūTe
sar se dil-dārī-e-āzād kā saudā nikle
dard miT jaa.e tirī yaad kā kāñTā nikle
lekin is shūmī-e-taqdīr kā kyā ho shikva
sar hī jab nāz-gah-e-vār se ūñchā nikle
nuzhat-e-sham ne jab raKHt-e-safar bandh liya
dard ne ruh ko bedari ka paigham diya
aah nasur-e-wafa
ghar se hum ishrat-e-azad ke shaida nikle
ho ke jaan-sozi tanhai se paspa nikle
le kar apne dil-e-bimar ko tanha nikle
soch rakkha tha ki ab yun use bahlaenge
raqs mein mai mein kisi saz mein kho jaenge
hosh se aaj to mahrum se ho jaenge
taki ho jins-e-tamanna ke fusun se chhuTe
maslahat kosh bane qaid-e-junun se chhuTe
sar se dil-dari-e-azad ka sauda nikle
dard miT jae teri yaad ka kanTa nikle
lekin is shumi-e-taqdir ka kya ho shikwa
sar hi jab naz-gah-e-war se uncha nikle
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 357)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.