ye samundar ka.ī baar uchhlā hai
har baar
maujoñ ne duur
un buland aur baalā
chaTTānoñ ke us paar jaane kī ḳhvāhish meñ
justeñ lagā.ī haiñ
is tarah uchhlī haiñ
jaise udhar kī fazā
jo abhī tak rasā.ī se bāhar thī
ab dām-e-nazāra meñ aa chukī hai
magar in chaTTānoñ se us paar kī vus.ateñ
ab bhī nādīda haiñ
aaj bhī
vo jo dīvār kī dūsrī samt meñ hai
mire lafz kī zad se
bāhar se shāyad
ye samundar kai bar uchhla hai
har bar
maujon ne dur
un buland aur baala
chaTTanon ke us par jaane ki KHwahish mein
justen lagai hain
is tarah uchhli hain
jaise udhar ki faza
jo abhi tak rasai se bahar thi
ab dam-e-nazara mein aa chuki hai
magar in chaTTanon se us par ki wusaten
ab bhi nadida hain
aaj bhi
wo jo diwar ki dusri samt mein hai
mere lafz ki zad se
bahar se shayad
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 40)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.