na-sazgar haalat
tan pe oḌhe hue chādar ġham-e-tanhā.ī kī
aaj bīmār maiñ bistar pe paḌī sochtī huuñ
haal nā-sāz hai merā ye batā.ūñ kis ko
apnī taklīf pareshānī sunā.ūñ kis ko
jab sahā jaatā nahīñ dard to uTh jaatī huuñ
aur phir uTh ke davā zahr sī maiñ khātī huuñ
koī hamdard to hotā kahīñ nazdīk mere
dekh kar dard mirā vo bhī pareshāñ hotā
haath se apne davā detā sahārā detā
yuuñ na ghabrāo mujhe kah ke dilāsa detā
Thiik ho jāogī apne ko sambhālo thoḌā
aur isrār ye kartā chalo khā lo thoḌā
is zamāne meñ huī kis kī tamannā puurī
kaun bad-hāl kī samjhā hai yahāñ majbūrī
tan pe oDhe hue chadar gham-e-tanhai ki
aaj bimar main bistar pe paDi sochti hun
haal na-saz hai mera ye bataun kis ko
apni taklif pareshani sunaun kis ko
jab saha jata nahin dard to uTh jati hun
aur phir uTh ke dawa zahr si main khati hun
koi hamdard to hota kahin nazdik mere
dekh kar dard mera wo bhi pareshan hota
hath se apne dawa deta sahaara deta
yun na ghabrao mujhe kah ke dilasa deta
Thik ho jaogi apne ko sambhaalo thoDa
aur israr ye karta chalo kha lo thoDa
is zamane mein hui kis ki tamanna puri
kaun bad-haal ki samjha hai yahan majburi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.