Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-tamam

Jabbar Wasif

na-tamam

Jabbar Wasif

Interesting Fact

(سانحہ مشرقی پاکستان کے تناظر میں)

ik ġhazal

misra misra jise

ham ne mil kar utārā thā qirtās par

vo ġhazal

jis ke har harf har lafz har she'r ko

ham ne kandāñ kiyā

lauh-e-ehsās par apne anfās par

vo ġhazal

surḳh hijrat ke juzdān meñ

ham sahīfa samajh kar chhupāte rahe

apnī āñkhoñ se us ko lagāte rahe

us ko paḌhte rahe gungunāte rahe

ek duuje ko ro ro sunāte rahe

aur phir ek din

maut se māvarā vaqt azhdahā

chāhatoñ ke kalīsā meñ dāḳhil huā

aur anfās meñ zahr shāmil huā

lauh-e-ehsās se

harf sab uḌ ga.e

lafz sab miT ga.e

vo mukammal ġhazal

misra misra jise

ham ne mil kar utārā thā qirtās par

aur kandāñ kiyā lauh-e-ehsās par

nā-mukammal huī

tum se duurī huī

jo thī puurī ġhazal vo adhūrī huī

ham judā ho ga.e ham alag ho ga.e

aadhe misre tire

aadhe misre mire

ek ghazal

misra misra jise

hum ne mil kar utara tha qirtas par

wo ghazal

jis ke har harf har lafz har she'r ko

hum ne kandan kiya

lauh-e-ehsas par apne anfas par

wo ghazal

surKH hijrat ke juzdan mein

hum sahifa samajh kar chhupate rahe

apni aankhon se us ko lagate rahe

us ko paDhte rahe gungunate rahe

ek duje ko ro ro sunate rahe

aur phir ek din

maut se mawara waqt ka azhdaha

chahaton ke kalisa mein daKHil hua

aur anfas mein zahr shamil hua

lauh-e-ehsas se

harf sab uD gae

lafz sab miT gae

wo mukammal ghazal

misra misra jise

hum ne mil kar utara tha qirtas par

aur kandan kiya lauh-e-ehsas par

na-mukammal hui

tum se duri hui

jo thi puri ghazal wo adhuri hui

hum juda ho gae hum alag ho gae

aadhe misre tere

aadhe misre mere

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now