na-tawan dosh par shaal
aur ab merī moñchheñ purāne sweater kī udhḌī huī safed uun
piile kāġhaz meñ rakkhī siyah film aur thūk-Dibiyā meñ band
terī maañ ke ghane baal
jinheñ chūmte chūmte maiñ ne rāteñ tirī soch meñ
ā.inoñ jaise barāmdoñ kī munaqqat safedī pe mal deñ
jahāñ bain mañDlā rahe the
jahāñ qahr kī sub.h aate hī saare Stethoscope
saañp ban jā.eñge
aur bad-atvār narsoñ kī āñkhoñ ke sūrāḳh
kiiḌe makoḌoñ kī āmāj-gāh
mire nā-tavāñ dosh par shaal
aur tū shamshād-qad āhanī jism siine meñ
ajdād kā ilm maujoñ kā shor
dabā kar mire kañdhe aur maañ ke pair
māthe kā bosa ki jannat ke phūloñ kā ras
kuchh raqam de ke būḌhe muhāfiz ko maiñ ne kahā thā ki ye ghaas to
saaf kar do
kahīñ qabr nannhī sī chhup hī na jaa.e
aur ab meri monchhen purane sweater ki udhDi hui safed un
pile kaghaz mein rakkhi siyah film aur thuk-Dibiya mein band
teri man ke ghane baal
jinhen chumte chumte main ne raaten teri soch mein
aainon jaise baramdon ki munaqqat safedi pe mal den
jahan bain manDla rahe the
jahan qahr ki subh aate hi sare Stethoscope
sanp ban jaenge
aur bad-atwar narson ki aankhon ke suraKH
kiDe makoDon ki aamaj-gah
mere na-tawan dosh par shaal
aur tu shamshad-qad aahani jism sine mein
ajdad ka ilm maujon ka shor
daba kar mere kandhe aur man ke pair
mathe ka bosa ki jannat ke phulon ka ras
kuchh raqam de ke buDhe muhafiz ko main ne kaha tha ki ye ghas to
saf kar do
kahin qabr nannhi si chhup hi na jae
- Book : meyaar (Pg. 135)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.