na-umidi kufr hai
tum jo maġhrib kī jugālī se kabhī thakte nahīñ
tum ko kyā ma.alūm hai taḳhlīq kā jauhar kahāñ
falsafī bante ho apne aap se pūchho kabhī
kho gayā hai ruuh kā gauhar kahāñ
tum dil-o-jāñ se mashriq kī parastārī karo
kyā barahman ke sivā kuchh aur ho
kyā kisī kī mashriq-o-maġhrib meñ dildārī huī
bhuuk se behāl haiñ jo un kī ġham-ḳhvārī huī
adl kī mīzān jab TuuTī paḌī ho darmiyāñ
zindagī saarī kī saarī hī riyā-kārī huī
maġhrib-o-mashriq kī saarī bahs meñ tum nā-umīdī ke sivā kyā de sake
nā-umīdī kufr hai
kufr se bachte bhī aur kufr hī karte ho tum
tum to maazī haal o mustaqbil ke bhī qaa.il nahīñ
dil kahe kuchh bhī magar tum is taraf maa.il nahīñ
vo jo mutlaq hai tumhāre vāste saare zamāne de gayā
tum batāo tum ne ab tak kyā kiyā
nā-umīdī kufr hai kufr hī karte ho tum
dil meñ gar raushan ho us din kī ummīd
justujū tum ko jab apne aap se milvā.egī
zindagī karne ko pyāre shash-jihat khul jā.egī
tum jo maghrib ki jugali se kabhi thakte nahin
tum ko kya malum hai taKHliq ka jauhar kahan
falsafi bante ho apne aap se puchho kabhi
kho gaya hai ruh ka gauhar kahan
tum dil-o-jaan se mashriq ki parastari karo
kya barahman ke siwa kuchh aur ho
kya kisi ki mashriq-o-maghrib mein dildari hui
bhuk se behaal hain jo un ki gham-KHwari hui
adl ki mizan jab TuTi paDi ho darmiyan
zindagi sari ki sari hi riya-kari hui
maghrib-o-mashriq ki sari bahs mein tum na-umidi ke siwa kya de sake
na-umidi kufr hai
kufr se bachte bhi aur kufr hi karte ho tum
tum to mazi haal o mustaqbil ke bhi qail nahin
dil kahe kuchh bhi magar tum is taraf mail nahin
wo jo mutlaq hai tumhaare waste sare zamane de gaya
tum batao tum ne ab tak kya kiya
na-umidi kufr hai kufr hi karte ho tum
dil mein gar raushan ho us din ki ummid
justuju tum ko jab apne aap se milwaegi
zindagi karne ko pyare shash-jihat khul jaegi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 109)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.