naf-dar-naf ye juDne ka taqaddus jaanan
jo faqat naaf piyāle ke tasavvur meñ hoñ gum
kis tarah naaf se juḌne kā taqaddus jāneñ
kis tarah chaak ko aur chaak kī vahdat jāneñ
nau jahānoñ kī agar ḳhaak uḌā.eñ to kahīñ
ḳhaak honā kise kahte haiñ
samajh meñ aa.e
aur phir aag meñ aur aab meñ gūñdhī huī ḳhaak
kitnī miqdār meñ bedār huā chāhtī hai
dil kī dhak dhak ke liye dil meñ ḳhudā chāhtī hai
naaf meñ kho ke nahīñ
juḌne se khul paatā hai
nāf-dar-nāf ye juḌne kā taqaddus jānāñ
nāf-dar-nāf ye juḌne kā taqaddus jānāñ
jo faqat naf piyale ke tasawwur mein hon gum
kis tarah naf se juDne ka taqaddus jaanen
kis tarah chaak ko aur chaak ki wahdat jaanen
nau jahanon ki agar KHak uDaen to kahin
KHak hona kise kahte hain
samajh mein aae
aur phir aag mein aur aab mein gundhi hui KHak
kitni miqdar mein bedar hua chahti hai
dil ki dhak dhak ke liye dil mein KHuda chahti hai
naf mein kho ke nahin
juDne se khul pata hai
naf-dar-naf ye juDne ka taqaddus jaanan
naf-dar-naf ye juDne ka taqaddus jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.