naf-piyala
raat ik niile ḳhvāb meñ maiñ ne
paanī kī āmezish se
gūñdhe ga.e gandumī rañg meñ
apnī mahbūba ke jaise
do nīm-barhana jism haiñ dekhe
pahlā ḳhushī kā
duujā ġham kā
sūrat qāmat aur badan ke ḳhadd-o-ḳhāl bhī ik jaise the
bas donoñ meñ ek farq thā
ġham ke jism meñ paayā maiñ ne
ik gahrā sā nāf-piyāla
raat ek nile KHwab mein main ne
pani ki aamezish se
gundhe gae gandumi rang mein
apni mahbuba ke jaise
do nim-barhana jism hain dekhe
pahla KHushi ka
duja gham ka
surat qamat aur badan ke KHadd-o-KHal bhi ek jaise the
bas donon mein ek farq tha
gham ke jism mein paya main ne
ek gahra sa naf-piyala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.