nai ki hajamat
koī hajjām kī dūkāñ pe aayā
aur ik bachche ko apne saath laayā
kahā jaldī se merā shave kar do
phir is bachche ke sar se baal kaaTo
yaqīñ hai das minute se pahle lauTūñ
maiñ cafeteria meñ chaa.e pī luuñ
vahāñ ik dost merā muntazir hai
bulāyā chaa.e par aaj us ne phir hai
vo fauran chal diyā dāḌhī muñDā kar
usī kursī pe laḌke ko biThā kar
vo jab kuchh der tak vāpas na aayā
diyā naa.ī ne bachche ko dilāsā
na ronā abbā jaan aate hī hoñge
ki jaanā hai makān aate hī hoñge
ye sun kar us ne jeboñ ko TaTolā
chane aur kishmisheñ kuchh khā ke bolā
ham un ke vāste rone lage kyuuñ
hamāre baap vo hone lage kyuuñ
tumhāre bhaa.ī yā bahnoī haiñ phir
kahā hajjām ne haiñ kaun āḳhir
nahīñ rishta to vo laate tumheñ kyuuñ
chachā hoñge nahīñ to hoñge māmūñ
vo bolā ham galī meñ khelte the
bulā kar vo hameñ laa.e ye kah ke
tumhāre baal kitne baḌh ga.e haiñ
ye collar hai nā is par chaḌh ga.e haiñ
cating achchhī karā dūñgā tumhārī
ḳhalīfa haiñ mire bachpan ke sāthī
ye saare be-tuke chhaT jā.eñge baal
yahāñ par muft meñ kaT jā.eñge baal
kahā naa.ī ne achchhā yak na do shud
bas ab uḌ jaao tum bhī beTe hud-hud
koi hajjam ki dukan pe aaya
aur ek bachche ko apne sath laya
kaha jaldi se mera shawe kar do
phir is bachche ke sar se baal kaTo
yaqin hai das minute se pahle lauTun
main cafeteria mein chae pi lun
wahan ek dost mera muntazir hai
bulaya chae par aaj us ne phir hai
wo fauran chal diya daDhi munDa kar
usi kursi pe laDke ko biTha kar
wo jab kuchh der tak wapas na aaya
diya nai ne bachche ko dilasa
na rona abba jaan aate hi honge
ki jaana hai makan aate hi honge
ye sun kar us ne jebon ko TaTola
chane aur kishmishen kuchh kha ke bola
hum un ke waste rone lage kyun
hamare bap wo hone lage kyun
tumhaare bhai ya bahnoi hain phir
kaha hajjam ne hain kaun aaKHir
nahin rishta to wo late tumhein kyun
chacha honge nahin to honge mamun
wo bola hum gali mein khelte the
bula kar wo hamein lae ye kah ke
tumhaare baal kitne baDh gae hain
ye collar hai na is par chaDh gae hain
cating achchhi kara dunga tumhaari
KHalifa hain mere bachpan ke sathi
ye sare be-tuke chhaT jaenge baal
yahan par muft mein kaT jaenge baal
kaha nai ne achchha yak na do shud
bas ab uD jao tum bhi beTe hud-hud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.