nakaam aarzu
hayā roke thī ab tak kuchh na un ke rū-ba-rū niklī
bahut chheḌā dil-e-muztar ko tab ye guftugū niklī
sunā karte the duniyā-bhar ke qisse ham-nashīnoñ se
jab apnā ḳhud qadam pahuñchā to bas ik aarzū niklī
ki ham har tarah se jis ke haiñ vo ab bhī hamārā ho
magar afsos hai apne muḳhālif us kī ḳhū niklī
rahā vo umr-bhar ġhairoñ pe maa.il jaan aur dil se
mohabbat jo hamāre haq kī thī vo chār-sū niklī
jafāoñ ke evaz meñ kiiñ vafā.eñ har ghaḌī ham ne
magar is be-asar dil se mohabbat kī na bū niklī
natīja kyā vo apnī haT ke puure baat ke ziddī
pashemāñ ham hue bekār saarī justujū niklī
jale ḳhāmosh mānind-e-sham.a nā-kāmiyābī par
magar ban kar bagūla āh-e-pur-ġham kū-bakū niklī
isī hasrat meñ ik din mar ga.e jhagḌā chukā apnā
magar sad āfrīñ ai aarzū dil se na tū niklī
pas-e-murdan bhī dil meñ Tiis sī lag rah ga.ī baaqī
kiyā tashḳhīs sab ne ġham magar vo aarzū niklī
haya roke thi ab tak kuchh na un ke ru-ba-ru nikli
bahut chheDa dil-e-muztar ko tab ye guftugu nikli
suna karte the duniya-bhar ke qisse ham-nashinon se
jab apna KHud qadam pahuncha to bas ek aarzu nikli
ki hum har tarah se jis ke hain wo ab bhi hamara ho
magar afsos hai apne muKHalif us ki KHu nikli
raha wo umr-bhar ghairon pe mail jaan aur dil se
mohabbat jo hamare haq ki thi wo chaar-su nikli
jafaon ke ewaz mein kin wafaen har ghaDi hum ne
magar is be-asar dil se mohabbat ki na bu nikli
natija kya wo apni haT ke pure baat ke ziddi
pasheman hum hue bekar sari justuju nikli
jale KHamosh manind-e-shama na-kaamiyabi par
magar ban kar bagula aah-e-pur-gham ku-baku nikli
isi hasrat mein ek din mar gae jhagDa chuka apna
magar sad aafrin ai aarzu dil se na tu nikli
pas-e-murdan bhi dil mein Tis si lag rah gai baqi
kiya tashKHis sab ne gham magar wo aarzu nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.