nakaam ishq
rāh-e-ulfat pe chal ke dekho to
apne ġham se nikal ke dekho to
jis taraf dekho be-qarārī hai
saarī duniyā hī ġham kī maarī hai
yuuñ to kitne hī ḳhūb-sūrat haiñ
ek duuje kī ham zarūrat haiñ
terī yādoñ meñ kho rahe haiñ ham
apnī palkeñ bhigo rahe haiñ ham
merī bātoñ kā e'tibār karo
mere mahbūb mujh se pyaar karo
dar-haqīqat jo 'ishq karte haiñ
phir jo chāheñ vo kar guzarte haiñ
vo mohabbat meñ nā-mukammal haiñ
husn par marne vaale pāgal haiñ
zindagānī hai ḳhatm honā hai
husn faanī hai ḳhatm honā hai
be-zabānoñ kī ham nidā hote
kaash kirdār par fidā hote
ḳhud ye anjām kar ke baiThe haiñ
'ishq-e-nā-kām kar ke baiThe haiñ
rah-e-ulfat pe chal ke dekho to
apne gham se nikal ke dekho to
jis taraf dekho be-qarari hai
sari duniya hi gham ki mari hai
yun to kitne hi KHub-surat hain
ek duje ki hum zarurat hain
teri yaadon mein kho rahe hain hum
apni palken bhigo rahe hain hum
meri baaton ka e'tibar karo
mere mahbub mujh se pyar karo
dar-haqiqat jo 'ishq karte hain
phir jo chahen wo kar guzarte hain
wo mohabbat mein na-mukammal hain
husn par marne wale pagal hain
zindagani hai KHatm hona hai
husn fani hai KHatm hona hai
be-zabanon ki hum nida hote
kash kirdar par fida hote
KHud ye anjam kar ke baiThe hain
'ishq-e-na-kaam kar ke baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.