nala-e-be-asman
maiñ kaise batā.ūñ tum batāo
kis tarah ye din guzar rahe haiñ
tauhīn haqārateñ tanaffur
kis kis se nibāh kar rahā huuñ
yuuñ faiz-e-ḳhirad se bahra-var huuñ
har ek fareb-e-vahm taj ke
is raat ye sochne lagā huuñ
maiñ mo'taqid-e-panāh hotā
itnā to na rū-siyāh hotā
shukr aur shikāyateñ duā.eñ
mere liye koī āstāna
tāsīr-dah-e-fuġhāñ nahīñ hai
juz jabr-e-nafas ye zindagānī
tum ko to ḳhabar hai kuchh nahīñ hai
har rishta jahāñ kā iftirā hai
har jhuuT yahāñ kā haq-numā hai
tum ko to ḳhabar hai is jahāñ meñ
dil kā koī āshnā nahīñ hai
dil kā koī aasrā nahīñ hai
ik tum the so tum bhī chhup ga.e ho
ab merā koī ḳhudā nahīñ hai!
main kaise bataun tum batao
kis tarah ye din guzar rahe hain
tauhin haqaraten tanaffur
kis kis se nibah kar raha hun
yun faiz-e-KHirad se bahra-war hun
har ek fareb-e-wahm taj ke
is raat ye sochne laga hun
main mo'taqid-e-panah hota
itna to na ru-siyah hota
shukr aur shikayaten duaen
mere liye koi aastana
tasir-dah-e-fughan nahin hai
juz jabr-e-nafas ye zindagani
tum ko to KHabar hai kuchh nahin hai
har rishta jahan ka iftira hai
har jhuT yahan ka haq-numa hai
tum ko to KHabar hai is jahan mein
dil ka koi aashna nahin hai
dil ka koi aasra nahin hai
ek tum the so tum bhi chhup gae ho
ab mera koi KHuda nahin hai!
- Book : aaina dar aaina (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.